Mann Ka Upvan (03/06/2024)

March 6, 2024

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻

#2208
                 Mann Ka Upvan

Param poojya Guruvar,

Mann ke chhote se upvan se
Laayi hoon phool Aapke charan mein karne arpit
Karam, dharam, ghar parivaar, bhaav, aur saansein
Karna chaahti hoon Aapko samarpit.

Mera hai hee nahin kuch
Mai hoon praani tuchh
Ye toh hai Aapki vaddi vadiyaayee
Jo mujhe Aapki sharan mein laayi.

Bulaakar Apni sharan mein
Aapne kripa kee hai aparampaar
Koshish toh karti hoon
Par manobal girne lagta hai kayi baar
Baadha bann jaata hai koi na koi vikaar
Aur ekatrit hota jaata hai atma par bhaar.

Mann ke upvan ka har phool aur kali
Jaise jaise chodti chale upvan kee gali
Aur aaye Aapke kamal charan mein
Vaise vaise meri har khaami
Aur meri har naadaani
Arpit ho jaaye Aapki sharan mein.

Jaanta hai mera mann aur chitt
Ki Aapki sharan mein mera kalyaan hai nishchit
Aapki kripa se mera har sanshay jaaye mitt
Mere paap dhul jaayein jaise jaise mai peeoon Aapke naam ka amrit.

Aapki mehar se toh mann ke upvan ke kante bhi shuddh ho jaayein
Aapki karuna se kashton ke kankad hatt jaayein
Upvan par noor chhaaye Aapke tejasvi prakash ka
Aapki bhakti mein ranga hua rangg ho upvan par chhaaye akash ka
Aapki ruhaani khushboo se meheke upvan ka vayumandal
Aapki kripa se mera har vichaar ho mangal.

Har phool har kali par ho Aapka naam
Aapke charnon mein ve paa lenge teerath dham
Aapka chintan karoon chaahe ho subah ya ho shaam
Shukrana karte huey karoon Aapke charnon mein pranaam.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Mann Ka Upvan (03/06/2024)

Leave a comment