March 10, 2024
Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻
#2212
Paawan Maun Ke Sundar Sindhu
Param poojya Guruji Maharaj Hain Trilokinath avatari
Unkee karuna kee mohtaaj hai Unkee sangat saari
Paawan maun ke sundar sindhu
Jinmein basey Hain Naad aur Bindu
Gehraayee ke saumya saagar
Jinhonei swayam dharti par aakar
Kiya anginat sangat ka kalyaan
Dekar Apni kripa ka daan
Aur aaj bhi mehsoos hoti hai Unkee divya shakti
Buss, chaahiye toh bhaav poorna bhakti.
Ashutosh Hain Guruji, Hain Ve Bholenath
Agam agochar hotey huey bhi Hain Ve sangat ke saath
Swayam hee swaroop Hain jo sansaar ke saar ke
Unke saare darshan Hain darshan Parwardigaar ke.
Arey, aur toh aur, Unke aadesh par prakriti badal leti hai apna rukh
Unkee mehar-e-nazar se manmukh tarr kar bann jaata hai Gurumukh
Unkee pyaar bhari baat aur daant, dono mein basaa hai bhakt ka sukh
Anivaarya hai ki hamaare antas mein Unka sthaan ho sarvpramukh.
🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹
Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja
Paawan Maun Ke Sundar Sindhu (03/10/2024)