March 15, 2024
Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar ππ»ππ»
#2217
Guruji Mein Basey Bhagwaan
Seedha saada sa jeevan jeete jeete
Guruji ke naam ka amrit peete peete
Boond boond bator kar ekatrit kiya khazaana
Guruji ke prem mein hota gaya deewana
Veh musaafir, jo Guruji mein magan rehta thaa
Jo bhi usey milta thaa, usey veh kehta thaaβ¦.
βMere Guruji Hain sarv vardaata
Aur jis jiska jud jaaye Unse naata
Uska honei lagta hai uddhaar
Uska awashya hota hai beda paar.
Guruji mere Hain Shivji ke avatar
Pooran Guru Hain mere sarkar
Jagg ke swami Hain
Antaryami Hain.
Guruji jaanein ki tu bheed mein bhi hai akela
Agar tu chaahta hai ki tera har vela ho suhela
Toh Guruji kee preet ko basaa le tu dil mein
Phir kabhi na hoga akela beshak ho bhari mehfil mein.
Kyunki Guruji kee preet samaayi hogi jabb tere bheetar
Toh Unke sangg teri taar judi hogi is kadar nirantar
Ki tujhe fursat na hogi kisee aur ke liye kaheen ya kabhi
Tujhe fark nahin padega jo sochein ya karein sabhi.
Buss, maun ko dhaaran kar le swayam mein
Vyast reh Guruji ke chintan mein
Jitna khoyega Guruji ke saumya spandan mein
Utna sukoon paayega tu Unke vandan mein.
Mere Guruji jaisa koi nahin
Kehta hoon mai baat sahi
Jee kar toh dekh Unke naam ke sahaare
Tera mann, vivek, jeevan sajj jaayega, aye pyaare.β
Karte huey Guruji kee mahima ka gungaan
Beeti musaafir ke jeevan kee dastaan
Dikhne mein thaa nirdhan parantu asal mein hua bahut dhanwaan
Guruji ko itna prem kiya usne ki paaye usne Guruji mein basey Bhagwaan.
πΉπΉπΉπΉπΉπΉπΉ
Jai Guruji ππ»ππ»
Dhirja
Guruji Mein Basey Bhagwaan (03/15/2024)