April 2, 2024
Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻
#2235
Asthaa Kaayam Rakhne Ke Liye
Asthaa kaayam rakhne ke liye
Karishme kee na rakhein kabhi shart
Varna hamaara kiya karaaya prayatn
Saara ka saara ho jaayega vyarth.
Guruji kee mahima kee jo hai dastaan
Namumkin hai karna uska poorna bakhaan
Arey, Unkee mahima ko toh sabhi devi devta takk dete Hain sammaan
Phir hum toh thehere bhautikvaad mein phanse anjaan insaan.
Guruji ke liye karishme karna toh hai atyant aasaan
Lekin karishmon se bahut aagey hota hai Guruji ka kiya kalyaan
Kyunki Unhe hamaare ateet, vartmaan, aur bhavishya kee bhi hai pehchaan
Ve toh hamaare antakaran aur atma kar karte Hain kaam.
Sewa, simran, satsang dwaara dete Hain Apni rehmaton ka Ve daan
Unka naam aur Unka gungaan hai amrit kee khan
Guruji ko kewal jaadugar kehkar na karein Unka apmaan
Kyunki Ve Hain pooran Guru ke roop mein swayam Shiv Bhagwaan.
Vo asthaa hee kaisi jo ho shart ya karishme par nirbhar
Vo bandagi hee kaisi jiska na ho bhakt par adhyaatmik asar
Vo rishta hee kya jismein pyaar kee hadd se na jaayein hum guzar
Vo jeevan hee kya jo na baney Guruji kee sewa mein rehne ka safar.
🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹
Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja
Asthaa Kaayam Rakhne Ke Liye (04/02/2024)