Sakaaratmak Soch (04/07/2024)

April 7, 2024

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻

#2240
                Sakaaratmak Soch

Soch mein bahut oorja hoti hai
Ye vyaktitva ka hissa kabb jaati hai bann
Ye jaan hee nahin paata ye baavra mann
Soch bigaad ya banaa sakti hai jeevan.

Guruji Maharaj hotey Hain prasann
Apne bhakton ke sakaaraatmak soch vichaar se
Apne bhakton ke sadachar se
Apne bhakton ke shuddh vyavhaar se.

Simran bakhsh kar, bakhsh kar dhyan
Pavitrikaran karte Hain karunanidhaan
Dete Hain sakaaraatmak soch ka paigaam
Sumat bakhsh kar karte Hain bhakt ke vyaktitva ka nirmaan.

Jabb bhi aaye mann mein koi nakaaraatmak vichaar
Ya kabhi bhi duvidha ya sanshay karein bhakt par prahaar
Toh Guruji kee yaad mein leen ho jaayein
Simran aur dhyan mein Unse prerna paayein
Sakaaratmak soch vichaar kee
Swayam ke uddhaar kee
Sanvarte huey ghar parivaar kee
Sudharte huey sansaar kee.

Samast srishti mein mahatvapoorna hai sabhi ka spandan
Aur sakaaraatmak soch se sudharenge sabhi ke karam
Sadbhaavna aur shubhta se anand poorna ho jaayega vandan
Sabhi ke sehyog se shuddh spandan dwaara khil jaayega srishti ka upvan.

Kalyuga mein ye hai bahut zaroori
Taaki mit jaaye Guru Govind se bhakt kee bhi duuri
Sakaaraatmak soch se kisee kee bhi niyat na hogi buri
Aur kalyuga mein satyugi jeevan jeene kee tamanna ho paayegi poori.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Sakaaratmak Soch (04/07/2024)

Leave a comment