April 13, 2024
Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar ππ»ππ»
#2246
Sachet Ho Jaa
Sachet ho jaa aye praani
Beeti jaa rahi hai zindagaani
Buss bhi kar abb karni aur naadaani
Varna aagey chalkar tere liye nishchit hai pareshaani.
Agar tu chaahta hai ki teri aagey kee yatra ho suhaani
Toh rutba rakh ruhaani aur imaan rakh insaani
Aise karmon se susajjit kar apne jeevan kee kahaani
Ki aane wale janam na banein tufaani.
Jo beet gaya usey tu nahin sakta badal
Kintu tu awashya sanvaar sakta hai apna aane wala kal
Uske liye apne vartmaan par kar le parishram bhara kaam
Japta jaa Guruji Maharaj ka nirmal naam.
Beshak yahaan hai tu aur tera shareer
Parantu tera antas pahunch jaayega Unke dhaam
Guruji sanvaar denge teri taqdeer
Aur denge tere safar ko kalyaankaari anjaam.
Tu na kar sanshay ya koi tark vitark
Mastt reh kintu reh apne karmon kee oar satark
Tere angg sangg Hain srishti ke sartaj
Teri niyati hai Unkee meher kee mohtaaj.
πΉπΉπΉπΉπΉπΉπΉ
Jai Guruji ππ»ππ»
Dhirja
Sachet Ho Jaa (04/13/2024)