Janam Kayi Hazaar (04/23/2024)

April 23, 2024

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻

#2256
                Janam Kayi Hazaar

Guruji kee ek nigaah
Ujjwal kar deti hai andheri raah
Deti hai uspar chalne ka utsaah
Badha deti hai Unke kareeb aane kee chaah.

Guruji kee pyaar bhari inaayat
Bakhsh deti hai ghar mein barkat
Nikhaar deti hai bhakt dwara kee gayi ibadat
Mita deti hai har shikva, har shikayat.

Guruji kee ek nazar
Kar deti hai bhakt par aisee nadar
Ki anugrahit ho jaata hai uska safar
Vo janam janamaantar ke liye jaata hai tarr.

Guruji ka paawan pyaar
Bhakt ko bulaata hai Unke dwaar
Jahaan hota hai uska uddhaar
Paakar Guruji kee kripa aparampaar.

Guruji kee har rehmat
Sanvaarti hai bhakt kee kismat
Sulajhaati hai bhakt kee duvidha aur dikkat
Deti hai bhakt ko taakat aur himmat.

Guruji kee meethi meher bhari muskaan
Bhakt ke veerane ko banaati hai gulistaan
Dekar komal kalyaan ka divya daan
Bhakt ko dhanya kar dete Hain Guru karunanidhaan.

Guruji kee dee har bakhshish, har daat
Hai param aadarneeya saugat
Chod kar har shart aur sabhi sawaalaat
Guru charnon mein rehne ko jee chaahe din raat.

Guruji se judi hui seedhi taar
Karti hai bhakt ka beda paar
Beshak jeevan ke din hon do chaar
Kintu sanvar jaate hain janam kayi hazaar.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Janam Kayi Hazaar (04/23/2024)

Leave a comment