May 12, 2024
Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻
#2275
Jeevan Daan Ke Samaan
Jabb se mann par raaj karne lagey Hain Guruji Maharaj
Tabb se sudharne sanvarne lagey hain pichhle aur vartmaan ke kaaj
Mil gaye Guru ke roop mein bandhu, maalik, meet, murshid, Samrat, aur Paramatama
Ve hee Hain priya pita mere, aur Ve hee Hain meri bahut pyaari si maa.
Is seemit se sansaar mein
Guruji kee mamta hai aseem anant
Maa kee kamee bhi poori karte Hain
Param poojya Guruji Bhagwant.
Guruji kee mamta ke suman
Mehekaate Hain mann ko har kshan
Guruji kee sharan milee hai jabse
Dhanya hua hai mann ka upvan.
Har suman hai nafees aur nirmal
Har suman hai karunamayi aur komal
Har suman hai sundar aur saral
Har suman mita deta hai mann ka mal.
Ruhaaniyat kee bahaar hai yahaan
Guruji ka pyaar aparampaar hai yahaan
Guruji kee mamta ka swaroop hai is upvan ka har suman
Jinke divya saundarya se anugrahit hua hai mera jeevan.
Guruji ne Apni mamta mein piroya hai Apna hukm
Guruji ne Apni mamta se bhare Hain mere anginat zakhm
Guruji kee mamta mujhe deti rahe Unhe khush karte rehne kee kshamta
Mere kareeb aane wali har museebat ka saamna karti hai Unkee mahaan mamta.
Guruji kee goad mein neend aati hai achchi
Shukrguzaar hoon Unkee ki Unhonei banaaya hai mujhe bhi Apni bachchi
Unkee dee mamta mein mila hai abhay daan
Mere liye Unkee mamta hai jeevan daan ke samaan.
🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹
Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja
Jeevan Daan Ke Samaan (05/12/2024)