Param Poojya Guruvar (05/15/2024)

May 15, 2024

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻

#2278
            Param Poojya Guruvar

Param poojya Guruvar peeron ke peer
Sabse nirmal hai Aapke naam ka neer
Nit nit kar ke is neer mein snaan
Hota jaata hai bhakton ka kalyaan.

Param poojya Guruvar Shehenshaah
Aap dikhaate Hain ruhaani unnati kee raah
Aap hee dete Hain uspar chalne kee shakti
Aap hee nikhaarte Hain bhakton kee bhakti.

Param poojya Guruvar meet hamaare
Mit jaata hai akelapann Aapke sahaare
Har pal rehte Hain Aap har sangat ke angg-sangg
Chadhaate Hain hum par Apne saanidhya ka suhaana rangg.

Param poojya Guruvar murshid mahaan
Lete Hain Aap Apne har shagird ka imtehaan
Aap na karein jo Apni rehmat pradaan
Toh naakaamyaab reh jaaye har shishya naadaan.

Param poojya Guruvar maa kee moorat
Har pal Aapke har bachche ko hai Aapki zaroorat
Aapki mamta bin poshit na ho paaye antas aur atma
Aapke komal aanchal kee udaarta se ho jaata hai dukhon ka khatma.

Param poojya Guruvar pita pyaare
Apne bachchon ko paalne ke Aapke tareeke hain nyaare
Niyam, nishtha, narmi ka nipun gyan dene wale nath
Sada rehte Hain Aap Apni har santaan ke saath.

Param poojya Guruvar vaid vidvaan
Dete Hain Aap hum sabhi rogiyon ko aarogyata ka daan
Hamaare shaareerik, bhaavaatmak, maaansik, ruhaani swaasthya kee oar dete Hain Aap dhyan
Srishti kee har aushadhi se zyaada prabhavshali hai Aapka paawan naam.

Param poojya Guruvar Parameshwar
Jis par padd jaaye Aapki meher-e-nazar
Uspar ho jaaye Aapke anugraha ka aisa asar
Ki vo kalyuga mein satyugi atma hokar karey jeevan basar.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Param Poojya Guruvar (05/15/2024)

Leave a comment