May 22, 2024
Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar šš»šš»
#2285
Guruji Kee Nadar
Surakshit hai tere jeevan kee doar
Tu na sochna kabhi jaane ka kaheen aur
Guruji ne liya hai tere jeevan kee doar ko pyaar se pakad
Aur tere jeevan ke har pehlu par baras rahi hai Unkee nadar.
Guruji kee nadar
Ka ho raha hai asar
Beshak tu jaane ya na jaane
Beshak tu maane ya na maane.
Varna tu abb takk toot jaata
Tu saamna na kar paata
Itnee kathinaayiyon ka
Itnee beemaariyon ka.
Arey, mumkin hai ki Guruji ne tujhe diya ho jeevan daan
Aur tujhe is baat ka ho hee na gyan
Tu har haalaat ko Unkee meharbaani hee jaan
Kyunki Ve karva rahe Hain tere praarabdh karmon ka bhugtaan.
Kewal maya aur mal nahin, balki ye karma bhi hain paash tere
Jo na jaane kitne janmon se huey hain tujhe ghere
Abb jo tu aaya hai pooran Guru kee sharan mein
Toh Ve tujhe sambhaale rahenge Apne kamal charan mein.
Guruji Maharaj Hain Pashupati Nath Shivji ke avatar
Teri khushkismati hai ki Unhonei tujhe kiya hai sweekaar
Har pal, har ghadi, har peher, har din ho raha hai tera uddhaar
Guruji kee nadar se zyada kalyaanmayi nahin hai brahmand mein koi bhi uphaar.
š¹š¹š¹š¹š¹š¹š¹
Jai Guruji šš»šš»
Dhirja
Guruji Kee Nadar (05/22/2024)