Sabhi Ho Jaayein Sukhi (06/19/2024)

June 19, 2024

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»

#2313
           Sabhi Ho Jaayein Sukhi

Badal kar mausam ka rukh
Dooji oar kar ke apna mukh
Hawaaon ne jaari rakha apna safar
Chhoote huey na jaane kaunse kaunse dar.

Chooma unhonei Guruji ke paaon ko
Sajda kiya Unke aanchal kee chhaaon ko
Kehne lagi ve Guruji Maharaj se
Brahmand ke sundar Sartaj se,
β€œAapke hukm par hum badal deti hain rukh mausam ka
Kintu kewal Aap badal sakte hain rukh har sankat aur gumm ka
Jo bann gaya hai hissa jann jann ke jeevan ka
Jo chheen raha hai saundarya sabke mann ke aangan ka.”

Guruji ne hawaaon ko samjhaaya,
β€œYe hai insaan ka kiya karaaya
Prakriti ka kiya nahin sammaan
Kalyugi insaan hain bilkul naadaan.”

β€œKewal duniyavi hai Unka gyan
Duur hona hoga unka ruhaani agyan
Ve kehte sunte hain ki Mai hoon kann kann mein
Phir bhool bhi jaate hain ek hee kshan mein.”

β€œEk toh ekatrit kiye hain unhonei karma sanchit
Ve Meri kripa se rahe hain mitt
Parantu ikattthaa karte jaate hain aur bhi bhaar
Aise mein kaise gumm rahit hoga sansaar?”

Guruji ne kaha, β€œMainey liya bashar ka roop
Phailaane vivek aur kalyaan kee dhoop
Kayi jann baney mere bhakt aur chhaatr
Kaiyon ne khali kiya mann ka paatr.”

β€œKintu ve bacha na paayein apne ko vikaar ke aakraman se
Isliye sankat aur gumm duur nahin hotey hain unke jeevan se
Mai kripa karta rahoonga Unhe jodey rakh Apne dhyan aur simran se
Kintu unhe sahi kaam karna hoga apni swatantra ichcha ke dhan se.”

β€œTabhi toh rukh badalega gumm ka
Aansoo sookhega har aankh numm ka
Mai toh gumm ka rukh badalta hoon par nasamajh hain ye insaan
Mutthi bhar reh jaayenge jinhe hogi asal dhan kee sahi pehchaan.”

β€œVe hongei taruvar ke unn patton ke samaan
Jo taruvar se judey rahenge beshak aaye patjhad ya tufaan
Mai toh karta chaloonga sabhi bhakton ka kalyaan
Aur saath hee leta chaloonga har bhakt ka imtehaan.”

Hawaaon ne Guruji ke charnon mein sees jhukaaya
Guruji ne unhe Apni ruhaani khushboo se mehkaaya
Hawaaon ne dua kee ki har manmukhi ho jaaye Gurumukhi
Taaki Guruji ke ashirwaad se sabhi ho jaayein sukhi.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Sabhi Ho Jaayein Sukhi (06/19/2024)

Leave a comment