Zindagi Ka Safar (06/25/2024)

June 25, 2024

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻

#2319
                    Zindagi Ka Safar

Param poojya Guruji Maharaj,

Aapke charnon mein jhuka rahe rukh
Jeevan mein chaahe sukh aayein ya dukh
Vo bahut hon ya phir thode se
Hum toh sada hain Aapke hee bharose.

Na sukh miley kabhi bhi Aapki kripa bina
Na dukh mein Aapke bin mumkin jeena
Bhoolein na ye kabhi hum
Ki chaahe khushi ho ya gumm
Chaahe dono mein aankhein hon numm
Dono hee nahin kisee bakhshish se kumm.

Kyunki Aap Hain bakhshanhaar
Aap Hain taaranhaar
Aap Hain pratipaalak
Hum hain Aapke baalak.

Hum kabhi bhool jaayein haath pakde rehne kee ada
Toh bhi Aap daya kar hamaara haath thaame rahiyega sada
Zamaane ke zehen mein beshak chhaayi ho bewafaai kee hawaa
Hamein yakeen hai ki Aapke paas hogi bhakton ke har marz kee davaa.

Aapke bharose rahenge
Toh doob kar bhi tayyr paayenge
Aapki meher se is bharose ke sahaare
Hum har chunauti ka saamna kar paayenge.
Aapke pyaar ka hee hai asar
Ki jeevan ho raha hai basar
Varna toh yakeenan aasaan nahin
Paheliyon se bhari is zindagi ka safar.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Zindagi Ka Safar (06/25/2024)

Leave a comment