Tu Tayy Kar Paayega Apni Dagar (07/05/2024)

July 5, 2024

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻

#2329
    Tu Tayy Kar Paayega Apni Dagar

Teri raahon mein chetna ke deep rahein hain jagmagaa
Dhyan rakh tera kadam na jaaye dagmagaa
Tu in raahon par chalne mein na ghabraa
Guruji kar rahe Hain tera maargdarshan
Unkee nigraani mein beet raha hai tere safar ka har kshan.

Guruji sangg tu apne rishte ko na bann-ne de shabdon ka mohtaaj
Is rishte mein teri oar se prem aur shraddha ke bhaav ka rahe raaj
Tabhi toh tu Guruji ke aadesh aur nirdesh ko jaan aur maan paayega
Varna tu asmanjas ke aasmaan ke baadalon mein kho jaayega.

Guruji aur apne beech kee har deewar toad
Unke sangg apni rooh kee seedhi taar joad
Unhonei tere naseeb ko Apne sanchaalan kee oar diya hai moad
Tu bhi abb baaki har aasare se ummeed rakhna chod.

Kyunki Guruji Hain sarvopari sarvshaktimaan
Unke charnon mein toh sabhi devi devta bhi karein pranaam
Adbhut hai Unkee leela, Ve Hain mahapratapi mahaan
Tu kismat wala hai jo Unhonei diya hai tujhe Apne naam ka daan.

Japp se dhyan, dhyan se japp
Jaisa ho paaye tujhse jabb jabb
Abhi se kar le, varna karega kabb
Maan le, jaan le, Guruji Hain Rabb.

Japp aur dhyan se mann kee aankhein jaayengi khul
Japp aur dhyan se tere paap bhi jaayenge dhul
Chetna ka har jagmagaata deep tujhe ujjwal nazar aayega
Tere bheetar ka har sanshay, har sankoch duur ho jaayega.

Tu mehsoos kar kar paayega Guruji ke maargdarshan ka anusaran
Karte rehna Unkee sharan mein tu prem bhaav arpan
Unke charnon mein rehne kee badhti jaayegi jo teri lagan
Toh tu hota chalega Unke khayaalon mein magan.

Buss, phir tu kabhi bhi na dagmagaayega
Tujhe tera lakshya saaf nazar aayega
Guru kripa se tu hota chalega lakshya kee oar agrasar
Bin dagmagaaye Unkee daya se tu tayy kar paayega apni dagar.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Tu Tayy Kar Paayega Apni Dagar (07/05/2024)

Leave a comment