July 8, 2024
Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻
#2332
Aye Mann Mere
Aye mann mere, vaapis aaja
Tu Guruji ke khayaalon mein
Varna aur bhi kho jaayega
Vyarth kee uljhanon aur sawaalon mein.
Jitna bhi chala ja idhar udhar
Uss se tu na sakega sudhar
Sach mein agar tujhe jaana hai sanvar
Toh Guruji par apna dhyan tu dhar.
Guruji ne bakhsha hai tujhe simran
Unkee kripa se tu usmein sakta hai ramm
Unhee ko simar, simarta jaa
Unke kareeb tu aata jaa.
Guruji tujhe jaante Hain tujhse bhi adhik
Ve manzil Hain aur tu hai mahaz ek pathik
Tu hai raaste aur uskee chunautiyon se beshak anjaan
Chinta na kar, tere angg sangg Hain Guru karunanidhaan.
Aye mann, idhar udhar ke khayaal banaate jaayenge tujhe nirdhan
Guru kripa se tu bator achche vichaaron ka dhan
Karta chal Guruji ka bakhsha dhyan aur simran
Dekhna, vikaar darenge tujh par karne se aakraman.
Abhi takk tu agar beshak asthir aur nirbal
Ashanti kee agni mein abb aur tu na jal
Badhaata chal tu apna bal
Vahee kaam aayega pal pal
Usee se niklega har mushkil ka hal
Jiska saamna tu karega aaj aur kal.
Bujh jaayegi agni ashanti kee
Tere bheetar lau hai Guruji kee kanti kee
Guru naam se dho kar apna mal
Abb honei de tu is kanti ko ujjwal.
🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹
Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja
Aye Mann Mere (07/08/2024)