Karma Bandhan (07/15/2024)

July 15, 2024

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻

#2339
                      Karma Bandhan

Karma bandhan
Karma hee vandan
Karma bandagi
Karma zindagi.

Karma kee yukti
Karma aur mukti
Yukti yathaarth
Jis se safal ho purusharth.

Isliye, Guruji ke pyaare paarth
Poori shraddha se joad kar apne haath
Shukr manaa ki Guruji Hain tere saath
Bin karta baney tu apne karma kar
Anaasakt hokar har karma Guruji ko arpit kar.

Karma bandhan se rahega phir tu azad
Tujhe har paash se swatantra karenge Pashupati nath
Bannkar aaya hai tu insaan
Bhagwaan se apni ekta ko pehchaan
Yahaan par tu hai mehmaan
Sab kuch chhoot jaana hai yahaan.

Saath jaayega karmon ka bhaar
Isliye apne chaal chalan ko sanvaar
Guruji kee sharan milee hai is baar
Is mauke ko na jaane de tu bekaar.

Nibha apne farz
Adaa kar apna karz
Seekh Guruji ke hukm mein rehna
Chaahe jo bhi pade sehna.

Tu anjaan
Ve jaan-e-jahaan
Tu insaan
Ve Bhagwaan.

Sudhaar kar tera haal
Bin poochhe tujhse sawaal
Bannkar teri raksha kee dhaal
Guruji awashya kar denge tujhe nihaal.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Karma Bandhan (07/15/2024)

Leave a comment