July 29, 2024
Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻
#2353
Guruji Kee Panaah Mein
Shaam ka aasmaan
Uda le jaa tu har gumm
Jo tu le jaa nahin sakta
Toh kumm se kumm unhe kar de tu kumm.
Sooraj ne bhi vaada kiya thaa kal
Ki uske aane se mere gumm jaayenge tal
Kintu vo raha kuch hee pal
Aur mausam gaya badal.
Chhaa gaye baadal ghaney
Bade dhokhebaaz baney
Badhaa gaye gumm ko
Phir kaise na aankh num ho.
Shaam ka aasmaan
Tu kar aansoo ponchne ka kaam
Guruji ko pahuncha mera vintee se bhara paigaam
Ki abb laut aaye muskaan.
Shaam ke aasmaan ne shunya mein ghoora
Kaha usne, “Guruji kehte Hain sooraj ho raha hai boodha
Kewal Guruji hee vaapis laa sakte Hain savera
Unkee kripa duur kar sakti hai har andhera.”
Shaam ke aasmaan ne kiya kuch vichaar
Guruji sangg seedha naata judey rehne ka yaad dilaaya upchaar
Shaam se mainey apne bhullakkarpann ka kiya izhaar
Aur Guruji se arzi kee mainey jod kar Unse seedhi taar.
Chintan ke dauran Guruji ne kee mujhse jo baat
Uss baat ne yoon chhoo liye mere jazbaat
Ki mai Unke charnon mein gayi kho
Jaagi, toh jaana ki mai gayi thi so.
Guruji ne deeye thei swapn darshan
Harshit ho gaya mera mann
Swapn mein shaam ka andhera hua duur
Jaagi, toh chharon oar phaylaa thaa Guruji ka noor.
Shaamein toh aati jaati rahengi jeevan mein
Guruji kee kripa se sthirta aur shanti rahe sabke mann mein
Saari sangat ke liye nikalti hai dil se yeh praarthana
Ki Guruji kee panaah mein sabhi ke gumm ho jaayein fanaa.
🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹
Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja
Guruji Kee Panaah Mein (07/29/2024)