Intazaar (07/31/2024)

July 31, 2024

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻

#2355
             Intazaar

Intazaar hai bahaar mein
Intazaar hai meri pukaar mein
Intazaar hai mere izhaar mein
Intazaar hai mere ikraar mein.

Intazaar, Guruji kee mauj mein aane ka
Intazaar, Guruji dwaara mere bakhshe jaane ka
Intazaar, mere tarr jaane ka
Intazaar, mera banda bann paane ka.

Intazaar, uss pal ka
Intazaar, uss kal ka
Jabb mukammal hoga mera intazaar
Jaan paane ka jeevan aur mrityu ka saar.

Guruji dete rahein Apna dulaar
Guruji se badhta rahe mera pyaar
Toh meetha lagta rahega ye intazaar
Varna toh jeena ho jaayega dushvaar.

Jaanti hoon ki yahee hai dwaar
Jahaan par safal hoga mera intazaar
Guruji kee hoon mai shukraguzaar
Ki is nacheez ko Unhonei kiya sweekar.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Intazaar (07/31/2024)

Leave a comment