Maalik Meharbaan (07/11/2024)

July 11, 2024

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»

#2335
   Maalik Meharbaan

Maalik meharbaan
Paawan pita Guruji hamaare
Aapki karuna unn sabko taare
Jinhe bulaate Hain Aap Apne dwaare.

Kabhi pal lagey kewal ek
Kabhi lagg jaayein lamhe anek
Kintu Aapka saath milta hai pal pratyek
Tabhi toh bhakt na thakey Aapke dar par maatha tek.

Anubhav nahin hoti intazaar kee mithaas
Kyunki bujhti nahin hai saboori kee pyaas
Aap bakhshte rahiye saboori
Taaki majboor na kar paaye koi bhi majboori.

Tann kee thakaavat toh na karey pareshaan
Kintu pareshaan karti hai mann aur atma kee thakaan
Aapki karuna aur bakhshish ka milta rahe daan
Poora kar deejiye ye armaan.

Is armaan kee poorti se ho jaayega kalyaan
Kyunki miltee rahegi Aapki karuna aur bakhshish
Aur jaayein bhi toh jaayein kahaan aur kyun
Aap hee Hain ma baap, Aap hee bhai bandhu aur Ish.

Nahin chodna hai Aapka dar
Yaheen jeena hai, yaheen jaana hai marr
Aapki kripa se yaheen jaaoon mai tarr
Aapne hee toh sambhaalna hai mera safar.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Maalik Meharbaan (07/11/2024)

Kuch Bikhre Bikhre Se (07/10/2024)

July 10, 2024

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»

#2334
             Kuch Bikhre Bikhre Se

Kuch bikhre bikhre se vichaar hain aaj
Mere param poojya Guruji Maharaj
Qubool keejiyega
Sumat deejiyega.

Mere paapon ka pahaad chuur hokar toot jaaye
Kaam krodh ahankar chhoot jaaye
Lobh aur moh na karein pareshaan
Kripa keejiye Guruji karunanidhaan.

Raat ke andhere se na ho bhayy
Baadal dekh kar mujhe na ho sanshay
Sooraj ke prakash jaise ho ye tayy
Ki safar ho mangalmay.

Swatantra ichcha ka karoon sadupyog
Anuchit disha mein na le jaaye koi bhog
Aapne sweekaara hai, ye hai saubhagya khaas
Aapka aabhhar prakat karne mein leen rahein mere shwaas.

Banta rahe Aapke dar par hee rehne ka koi na koi bahaana
Aapka dar lagta hai bahut suhaana
Kabhi bhi yahaan se na keejiyega mujhe ravaana
Jabb keejiyega ravaana, toh yoon ki Apne mein hee mujhe samaana.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Kuch Bikhre Bikhre Se (07/10/2024)

Kabb Jeevan Mein Tufaan Aa Jaaye (07/09/2024)

July 9, 2024

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»

#2333
  Kabb Jeevan Mein Tufaan Aa Jaaye

Kabb jeevan mein tufaan aa jaaye
Aksar nahin hota iska pataa
Zyadaatar lagta hai ki aisa kyun hua
Jabb ki humse toh hui nahin koi khataa.

Sunte sunaate aaye hain hum
Ki pichhle janmon mein kiye karam
Parinaam dikhaate hain baad mein
Ghul kar kismat aur jazbaat mein.

Guruji Apni sangat par karte Hain rehem
Karam ke parinaam ko bhugat-ti hui sangat ke
Gehre ho sakte hain zakham
Aur Guruji unn zakhmon par malte Hain marham
Apni mamta ka
Apni kshamta ka.

Maanav janam mila hai hamein
Ismein ye hisaab chukaana bhi zaroori hai
Guruji ke hukm mein rehkar chukaayein toh achcha
Chaahe samajh kar farz ya samjhein ki ek majboori hai.

Kyunki Guruji sambhaalenge hamaare karmon ka adhiktar bhaar
Mushkil se mushkil samay mein bhi hamein doobne se bachaayega Guruji ka pyaar
Karmon ka bhaar utarne par hee pahunch paayenge hum uss paar
Jahaan par mukammal hoga Rabb se milne ke liye rooh ka intazaar.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Kabb Jeevan Mein Tufaan Aa Jaaye (07/09/2024)

Aye Mann Mere (07/08/2024)

July 8, 2024

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»

#2332
      Aye Mann Mere

Aye mann mere, vaapis aaja
Tu Guruji ke khayaalon mein
Varna aur bhi kho jaayega
Vyarth kee uljhanon aur sawaalon mein.

Jitna bhi chala ja idhar udhar
Uss se tu na sakega sudhar
Sach mein agar tujhe jaana hai sanvar
Toh Guruji par apna dhyan tu dhar.

Guruji ne bakhsha hai tujhe simran
Unkee kripa se tu usmein sakta hai ramm
Unhee ko simar, simarta jaa
Unke kareeb tu aata jaa.

Guruji tujhe jaante Hain tujhse bhi adhik
Ve manzil Hain aur tu hai mahaz ek pathik
Tu hai raaste aur uskee chunautiyon se beshak anjaan
Chinta na kar, tere angg sangg Hain Guru karunanidhaan.

Aye mann, idhar udhar ke khayaal banaate jaayenge tujhe nirdhan
Guru kripa se tu bator achche vichaaron ka dhan
Karta chal Guruji ka bakhsha dhyan aur simran
Dekhna, vikaar darenge tujh par karne se aakraman.

Abhi takk tu agar beshak asthir aur nirbal
Ashanti kee agni mein abb aur tu na jal
Badhaata chal tu apna bal
Vahee kaam aayega pal pal
Usee se niklega har mushkil ka hal
Jiska saamna tu karega aaj aur kal.

Bujh jaayegi agni ashanti kee
Tere bheetar lau hai Guruji kee kanti kee
Guru naam se dho kar apna mal
Abb honei de tu is kanti ko ujjwal.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Aye Mann Mere (07/08/2024)

Saari Sangat Mein Dhoom Machee (07/07/2024)

July 7, 2024

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»

#2331

Saari Sangat Mein Dhoom Machee

Saari sangat mein dhoom machee
Sabke mukh par hai nutan hansee
Guruji ka avatar divas hai aaya
Sangat ke liye khaas ashirwaad hai laaya.

β€˜Special blessings’ ka din hai aaj
Janme aaj ke din Param poojya Guruji Maharaj
Unke mata pita ko bhi maalum na thaa
Lekin waqt ne sabhi ko diya bataa
Ki chhota sa saadhaaran sa lagta veh baalak
Banega saare jagat ka pratipaalak.

Guruji pyaare Shiv avatari
Unkee deewaani hoti gayi sangat saari
Unke bachpan se hee Unkee leela dikhne lagi
Kitnon kee soyi kismat Guruji ke sparsh se jagi.

Baalpan se hee leen rehte thei Guruji bhakti mein
Badhauti hoti gayi Unkee shakti mein
Saralta aur saadagi kee soorat
Taralta aur komalta kee moorat.

Samay ke saath saath
Loag aapas mein karne lagey baat
Guruji ke prabhutva kee
Har baat thi bahut mahatva kee.

Vikhyaat honei lagi Guruji kee vadiyaayee
Sakaaratmak parivartan laane lagi Unkee guruyaayee
Guruji ne bakhsha bhakton ko simran aur dhyan
Andhvishwaas aur vehem se duur kar mitaaya bhakton ka agyan.

Unke satsang sunn-ne sunaane kee aarambh hui pratha
Jo banti gayi sangat ke anubhavon kee satya katha
Sunn-ne aur sunaane wale ko miley Guruji ka ashish
Sangat tarti jaa rahi hai paakar Unkee bakhshish.

Guruji ka avatar divas hai bahut hee shubh din
Kyunki sangat kee sadgati nahin hai Guruji bin
Khushi aur garv se samast Guruparivaar is shubh parv ko manaaye
Guruji kee kripa se kalyuga mein satyuga ka paigaam phayltaa jaaye.

Aaj ka din hai Guruji ke sangat par khaas ashirwaad ka
Aur sangat kee oar se Guruji ko khaas dhanyawaad ka
Isliye Unka shukrana karna bhool na jaana
Unke charnon mein shraddha ke suman chadhaana.

Sabhi ko Guru Sahib ke avatar divas kee shubhkaamnaayein
Guruji ka hukm maankar hum sab bande bann jaayein
Yaad rakhein sewa simran satsang shukrana aur samarpan ka paath
Aur Guruji kee mahima ka gungaan sunein aur sunaayein din raat.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Saari Sangat Mein Dhoom Machee (07/07/2024)

Har Shwaas Kee Yeh Aas Hai (07/06/2024)

July 6, 2024

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»

#2330
         Har Shwaas Kee Yeh Aas Hai

Param poojya Guruvar,

Abb bahut lamba lagne lagaa hai intazaar
Lekin dil kahe mujhse, β€œ Ummeed na haar”
β€œ Bahut dayavaan Hain Guruvar sarkar”
β€œ Ve awashya karenge tera beda paar. β€œ

Dil kee in baaton ne rooh ko liya chhoo
Aur rooh se niklee hai ye arzoo
Ki khol deejiye gaanthein kismat kee
Barsaa deejiye boondein rehmat kee
Ichhuk hoon Aapki dee hidaayat kee
Meri kismat mohtaaj hai Aapki inaayat kee.

Aur jaaoon bhi toh jaaoon kahaan
Aur kyun mai jaaoon yahaan vahaan
Mere liye toh Aapse hai saara jahaan
Aap hee nikhaar sakte Hain meri dastaan.

Nazar andaaz kar deejiye meri khaamiyan
Maaf kar deejiye meri gustaakhiyan
Aapne anginat paapiyon ko hai taara
Mujhe bhi aaj takk Aapne diya hai sahaara.

Aapki rehmaton ke bina aagey bhi bilkul na hai mera guzaara
Aap toh jaante hee Hain haal saara
Khatkhataa rahi hoon aaj bhi Aapka dwaara
Yakeen hai haalaat sudhar jaayenge paakar Aapka ek ishaara.

Shiv avatari Guruvar pyaare
Aapke tareeke hain anokhe aur nyaare
Kuch bhi nahin hai Aapke liye namumkin
Aap din kahein raat ko, toh raat hakeekat mein bann jaaye din.

Aapki chaukhat par jhuka hai mera sees
Aapke dar par mujhe aaj bhi milega ashish
Ye ummeed nahin, balki mera vishwaas hai
Niraash na karna mujhe, mere har shwaas kee yeh aas hai.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Har Shwaas Kee Yeh Aas Hai (07/06/2024)

Tu Tayy Kar Paayega Apni Dagar (07/05/2024)

July 5, 2024

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»

#2329
    Tu Tayy Kar Paayega Apni Dagar

Teri raahon mein chetna ke deep rahein hain jagmagaa
Dhyan rakh tera kadam na jaaye dagmagaa
Tu in raahon par chalne mein na ghabraa
Guruji kar rahe Hain tera maargdarshan
Unkee nigraani mein beet raha hai tere safar ka har kshan.

Guruji sangg tu apne rishte ko na bann-ne de shabdon ka mohtaaj
Is rishte mein teri oar se prem aur shraddha ke bhaav ka rahe raaj
Tabhi toh tu Guruji ke aadesh aur nirdesh ko jaan aur maan paayega
Varna tu asmanjas ke aasmaan ke baadalon mein kho jaayega.

Guruji aur apne beech kee har deewar toad
Unke sangg apni rooh kee seedhi taar joad
Unhonei tere naseeb ko Apne sanchaalan kee oar diya hai moad
Tu bhi abb baaki har aasare se ummeed rakhna chod.

Kyunki Guruji Hain sarvopari sarvshaktimaan
Unke charnon mein toh sabhi devi devta bhi karein pranaam
Adbhut hai Unkee leela, Ve Hain mahapratapi mahaan
Tu kismat wala hai jo Unhonei diya hai tujhe Apne naam ka daan.

Japp se dhyan, dhyan se japp
Jaisa ho paaye tujhse jabb jabb
Abhi se kar le, varna karega kabb
Maan le, jaan le, Guruji Hain Rabb.

Japp aur dhyan se mann kee aankhein jaayengi khul
Japp aur dhyan se tere paap bhi jaayenge dhul
Chetna ka har jagmagaata deep tujhe ujjwal nazar aayega
Tere bheetar ka har sanshay, har sankoch duur ho jaayega.

Tu mehsoos kar kar paayega Guruji ke maargdarshan ka anusaran
Karte rehna Unkee sharan mein tu prem bhaav arpan
Unke charnon mein rehne kee badhti jaayegi jo teri lagan
Toh tu hota chalega Unke khayaalon mein magan.

Buss, phir tu kabhi bhi na dagmagaayega
Tujhe tera lakshya saaf nazar aayega
Guru kripa se tu hota chalega lakshya kee oar agrasar
Bin dagmagaaye Unkee daya se tu tayy kar paayega apni dagar.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Tu Tayy Kar Paayega Apni Dagar (07/05/2024)

Fakir Aur Yuvak (07/04/2024)

July 4, 2024

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»

#2328
                    Fakir Aur Yuvak

Andheri si thi raat
Baras rahi thi barsaat
Koi nahin thaa saath
Fakir Khuda se kar raha thaa baat.

Keh raha thaa veh Khuda se
Tum kyun ho juda juda se?
Baarish kee boondein bhejte ho
Mere aansoo nahin dekhte ho?

Mai kab se raha hoon tumhe pukaar
Mujhe toh vyarth lagta hai sansaar
Yahaan rehkar karoon kya, aata nahin samajh
Jitna sochta hoon, utna jaata hoon sawaalon mein ulajh.

Achaanak kisee ne fakir ke kandhe par rakha haath
Fakir ne dekha, ek sundar sa yuvak khada thaa uske saath
Pata na chala vo kahaan se aaya
Vo fakir ko dekh kar muskuraaya.

Khuda ke bande bannkar raho sansaar mein
Khuda kee har rachna kee sewa karo
Khuda kee ibadat karo aur karte raho Uska dhanyawaad
Vo tumhaare karmon ka bhaar halka karega aur deta rahega ashirwaad.

Khuda se tumhe jodne mai hoon aaya
Sundar yuvak ne fakir ko bataaya
Usee ko yaad karo, Usee se fariyaad karo
Sansaar mein jeeyo kintu Khuda se judo.

Jitna tum usey karoge yaad
Vo karega tumhaara antas aabaad
Shiv Guru Nanak Isa Allah sab Hain ek
Uss ek divya jyot ke naam hain anek.

Fakir ne poochha, β€œAap kaun?”
Toh yuvak tabb ho gaya bilkul maun
Kintu Unke maathe par ujjwal hua noorani Om aur Ek Onkar
Aur fakir ko samajh aane lagaa yuvak kee baaton ka saar.

Fakir ne kaha yuvak se ki vo kaun hai
Jiskee daya se uskee jaagriti hui hai shuru
Yuvak ne kaha ki Ve swayam Guruji Maharaj Hain
Aur fakir ne Unkee agya se banaa liya Unhe apna Guru.

Aarambh hua fakir ka ek naya safar
Rehte huey usee sansaar mein
Guruji kee sharan mein kar ke jeevan basar
Veh bheegne lagaa Unke kiye upkaar mein.

Andheri raatein huin
Guruji ke dhyan se roshan
Guruji ke simran se miley ruhaani gyan ne Kiya fakir kee atma ka poshan.

Abb bhi aksar hoti thi barsaat
Par abb Guruji thei fakir ke saath
Shukrana ke aansoo behte thei
Guruji se bahut kuch kehte thei.

Vo sab fakir aur Guruji ke beech kee hai baatein
Jinmein guzarti gayi fakir ke din aur uskee raatein
Fakir kee rooh ne jodi Guruji se seedhi taar
Aur Guruji ne fakir ko Apni meher se diya taar.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Fakir Aur Yuvak (07/04/2024)

Nazaaron Ne Poochha (07/03/2024)

July 3, 2024

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»

#2327

Nazaaron Ne Poochha

Nazaaron ne poochha
Mai kisey dhoondh rahi hoon
Bahaaron ne poochha
Mai kyun jhoom rahi hoon.

Mai dhoondh rahi hoon Apne Guruji ko
Mainey kaha nazaaron se
Unke khayaalon mein jhoom rahi hoon
Mainey kaha bahaaron se.

Nazaaron se mujhse mere bheetar nazar daalne ko kaha
Mainey unka kaha maana
Mere bheetar hee toh Guruji Hain
Mainey phir ye jaana.

Jaise jaise mai Guruji ke khayaalon mein rahi thi jhoom
Bahaaron ne mere antas mein machaayi ek adbhut anand kee dhoom
Uss ruhaani si aantrik dhvani se milee mujhe anokhi shanti
Dhyan lagaa aur ruhaani naynon ko dikhee Guruji kee kanti.

Anandmayi drishya
Jyoti divya
Jismein Guruji ke darshan
Dikhey uss kshan.

Bheeni bheeni si sugandh
Ne kiya dhyan ka antt
Chehre kee aankhein jo khuli
Toh lagaa bheetar kee dhool udi
Vahaan kee bahaaron mein
Aur ghul gayi kaheen nazaaron mein.

Kintu antas kee aankhon ko saaf dikhne lagaa
Bheetar kee chetna ka soya baalak jagaa
Guruji kee kripa se Unse duuri kee uljhan gayi sulajh
Guruji kee karuna se aane lagaa samajh
Ki Guruji Hain Bhagwaan, mai hoon nimaana das
Aur Guruji swayam karte Hain mere bheetar vaas.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Nazaaron Ne Poochha (07/03/2024)

Mere Parwardigaar Aapki Kripa Apaar (07/02/2024)

July 2, 2024

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»

#2326
Mere Parwardigaar Aapki Kripa Apaar

Mere Satguru sarkar
Mere Guruji paalanhaar
Mere Parwardigaar
Aapki kripa apaar.

Mere taaranhaar
Aapka pyaar hai aparampaar
Mere Shiv avatar
Aap Hain shabdon ke paar
Mere Parwardigaar
Aapki kripa apaar.

Mai aayi Aapke dwaar
Ye hai Aapka upkaar
Aapse hee hai sangat ka ghar parivaar
Mere param poojya pyaare daataar
Mere Parwardigaar
Aapki kripa apaar.

Aap Hain pyaare Shiv avatari
Aapki deewani hai sangat saari
Aapki leela hoti hai nyaari
Sabke bhale kee aati hai baari
Mere Parwardigaar
Aapki kripa apaar.

Karte ho sangat ka kalyaan
Dete ho Apne naam ka daan
Mahima Aapki sabse mahaan
Is se nahin hai koi bhakt anjaan
Mere Parwardigaar
Aapki kripa apaar.

Aapki prerna se chal raha hai sangat ka kaarvaan
Aapki daya par nirbhar hai har bhakt kee dastaan
Aapki sharan mein mil gaya mujhe saara jahaan
Aapke charnon mein jaaoon mai samaa
Mere Parwardigaar
Aapki kripa apaar.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Mere Parwardigaar Aapki Kripa Apaar (07/02/2024)