August 5, 2024
Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar ππ»ππ»
#2360
Kabhi Uljhan Nahin
Jo bakhsh rahe Hain tumhe zindagi
Kuch pal toh kar lo Unn pyaare Guruji kee bandagi
Varna baad mein padega pachhtaana
Kyunki samay ne haath se hai nikal jaana.
Prem bhaav se bandagi mein beete huey aaj ke pal
Guruji kee kripa se sanvaar denge tumhaara aane wala kal
Tum apna vishwaas aur prayaas rakho atal
Guruji tumhaari bandagi karenge safal.
Guruji udaar Hain
Guruji chitrakaar Hain
Unhe jitna chet-ta rahega tumhaara chitt
Uss se bhi zyada Ve karenge tumhaara hitt.
Beshak socho tum ki tumhaara hitt hai sabse zaroori
Ya phir socho ki tumhaare liye tumhaara hitt hai ek majboori
Guruji bakhsh rahe Hain tumhe har shwaas
Isliye tumhaara farz hai rakhna Unpar poorna vishwaas.
Jinhonei shwaas hai bakhsha
Ve karenge tumhaari raksha
Ismein do rai kee nahin hai koi gunjaaish
Tumhe iske liye na karni hai Unse guzaarish Na hee bataani hai Unhe yeh khwaahish.
Guruji kee nadar bin tumhaari ek bhi dhadkan nahin
Guru kripa bin is safar mein poorna kalyaan ka dhan nahin
Guruji tumhaare baare mein na sochein, aisa koi kshan nahin
Unkee bandagi mein antataha awashya milegi suljhan, kabhi uljhan nahin.
πΉπΉπΉπΉπΉπΉπΉ
Jai Guruji ππ»ππ»
Dhirja
Kabhi Uljhan Nahin (08/05/2024)