Na Bhooloon (08/11/2024)

August 11, 2024

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»

#2366
        Na Bhooloon

Param poojya Guruji Maharaj,

Na bhooloon kabhi karna Aapka shukrana
Na bhooloon ki nahin hai mujhe ghabraana
Chaahe jaise bhi hon haalaat
Chaahe sataaye koi bhi baat
Kyunki Aap sada Hain mere saath
Subah aur shaam, din aur raat.

Aapki rooh ka hissa hai meri rooh
Phir kyun bhramit karey mujhe koi bhi chakravyuh
Aapka noor kar raha hai meri rooh ko roshan
Aapka pyaar kar raha hai meri rooh ka poshan
Aisa ho raha hai har ghadi, har kshan
Jiskee badaulat kaayam hai meri dhadkan.

Ye nahin hai koi saadhaaran baat
Balki ye hai Aapki dee hui paawan saugat
Nashukr hokar aur bhi gir na jaaoon
Kripa keejiye ki shukrana mein sees jhukaaoon…
Har pal, har ghadi
Chaahe daat chhoti lagey ya badi
Kyunki kabhi jholi khaali nahin padi
Ghar parivaar kee bagiya hai hari bhari.

Aap Hain mere maalik meharbaan
Apne niyantran mein rakhiye mera imaan
Aapka shukrana karna kabhi na bhoole Aapki ye santaan
Aakhiri saans takk Aapka naam japti rahe meri zubaan.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Na Bhooloon (08/11/2024)

Leave a comment