August 13, 2024
Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar šš»šš»
#2368
Guruji Ka Vo Ho Gaya
Ik raahi thaa albela
Mila usey saath suhela
Param poojya Guruji Maharaj ka
Brahmaandon ke sartaj ka.
Guruji ne chuna usey jabb Guruji kee hui mauj
Banaa vo shishya Unka, usey karni na padi khud khoj
Usey Guruji mein hui nishtha nirmal
Guruji ne uske antas mein ruhaani deep kar diye ujjwal
Guruji ne joda usey yoon Apne se aur gurbani se
Ki vo apne girebaan mein jhankne lagaa aasaani se.
Usey Guruji mein miley murshid, saathi, nath, aur Rabb
Usey Guruji mein miley sahaare sabb
Guruji ne usey Apni suraksha ka kavach pehnaaya
Usne Guruji se abhay daan paaya
Chaahi thi usne jo befikri aur beparwaahi kabb se
Usey veh mil gayi apne Guru, apne Rabb se.
Jaise jaise gehra hota gaya uspar chadha Guruji ke naam ka nasha
Vaise vaise sudharti sanvarti gayi har tareh se uskee dasha
Sakaaraatmak parivartan kee oar hoti gayi uske soch vichaar kee disha
Aane wala har savera lamba hota gaya aur chhoti hoti gayi har nisha.
Guruji kee mahima gaane wala
Veh raahi mastt matvaala
Guruji ke chintan mein vyast rakh kar apna chitt
Guruji ke charnon mein ho gaya samarpit
Guruji ke pyaar mein vo yoon kho gaya
Ki poornata se Guruji ka vo ho gaya.
š¹š¹š¹š¹š¹š¹š¹
Jai Guruji šš»šš»
Dhirja
Guruji Ka Vo Ho Gaya (08/13/2024)