August 17, 2024
Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻
#2372
Guruji Ka Prataap
Namumkin hai andaaza lagaana
Guruji ke prataap ka
Lekin Guruji ko sab maalum hai
Tumhaare dukh aur santaap ka.
Prataap Unkee guruyaayee ka
Prataap Unkee vadiyaayee ka
Prataap Unkee dee hui chetna ka
Prataap Unkee dee hui prerna ka.
Unke charnon mein tumhaara sheesh hai
Tumhaare sheesh par Unka ashish hai
Unke swaroop mein tumhaare sangg Ish hai
Tumhaare naseeb ke sangg Unkee bakhshish hai.
Guruji tumhaare hunar nikhaarenge
Aur Unmein hee hai hunar nikhaarne ka tumhaari taqdeer ko
Unhee ka hunar, Unhee kee mehar
Har pal, har ghadi, har peher.
Guruji ke prataap ko pranaam
Sabse nirmal hai Unka naam
Unhee se miley har praan ka daan
Unkee kripa mein hai poorna kalyaan.
Guruji ka prataap hai bada hee pyaara
Guruji ka prataap hai har bhakt ka sahaara
Rahasyamayi hai, ruhaani hai
Unke prataap kee har gaatha suhaani hai.
🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹
Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja