Unke Pyaar Kee Satya Gaathaayein (09/01/2024)

September 1, 2024

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻

#2387
  Unke Pyaar Kee Satya Gaathaayein

Bhakt ke liye apaar pyaar hai Guruji kee nazar mein
Bhakt ka uddhaar hai Guruji kee nadar mein
Bhakt ka pavitrikaran aur sudhaar hota hai is safar mein
Guruji ka ashirwaad barasta hai ghar ghar mein.

Jis bhakt par padd jaaye Guruji kee nazar
Uske bin jaane bhi uspar hota hai Guruji kee rehmat ka asar
Aisee hai Guruji kee vadiyaayee
Unke dar par hoti hai sabki sunvaayee.

Rehte huey duniya ke bhare bazaar mein
Bitaate huey jeevan ke kayi pal Guruji kee meher-e-nazar ke intazaar mein
Na bhoolna ki Unkee nadar kabhi basti hai Unke kiye inkaar mein
Aur kabhi Unkee inaayat-e-ikraar mein.

Unka inkaar aur ikraar
Dono mein hai bhakt ka upkaar
Aisa upkaar hota hai baarambaar
Kyunki Guruji kee kripa hai aparampaar.

Kuch kuch aisa hee hai Guruji kee kripa ka vistaar
Is vistaar mein hai har bhakt ke kalyaan ka saar
Saral aur komal, kintu rahasyamayi aur gehra hai Guruji Maharaj ka pyaar
Srishti mein goonjti rahengi Unke pyaar kee satya gaathaayein sainkdon hazaar.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Unke Pyaar Kee Satya Gaathaayein (09/01/2024)

Leave a comment