Bhola Bhakti Bhaav (09/02/2024)

September 2, 2024

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»

#2388
            Bhola Bhakti Bhaav

Baazuon mein bal hona koi badi baat nahin
Zarooori hai dumm hona kirdaar mein
Varna beshak kaam chal jaayega is sansaar mein
Kintu badhauti hoti jaayegi sanchit karmon ke bhaar mein.

Guruji kee kripa se vish-rahit ho jaayein hamaare vichaar
Tabhi toh shuddh hongei hamaare sanskaar
Sanskaar shuddh hongei, toh anukool hoga swabhaav
Aur isee swabhaav ko pratibimbit karega hamaara bhaav.

Bhaav hoga jitna bhola aur saral
Bhaav hoga jitna nirmal aur komal
Guruji ko utna hee bhaayega
Aur bhakti ko utna hee badhaayega.

Na chalti yahaan chaalaaki
Na chalti yahaan chaturaayee
Na yahaan jhooth aur paakhand ka koi kaam
Na kaam aati yahaan apni vadiyaayee.

Guruji ko na rijhaayein dikhaawe bhare nazaare
Guruji Maharaj toh Hain Bholenath hamaare
Ve chaahein ki koi bhakt apna bhola bhaav na bisaare
Guruji ko paana mumkin hai bhole bhakti bhaav ke sahaare.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Bhola Bhakti Bhaav (09/02/2024)

Leave a comment