Mann Mein Hain Kuch Khayaal (09/04/2024)

September 4, 2024

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»

#2390
     Mann Mein Hain Kuch Khayaal

Param poojya Guruji Maharaj,

Mann mein hain kuch khayaal
Mere Guruvar deendayaal
Jaise jaise Aapke prati prem bhaav mein mai nimaani behti hoon
Mann ko jhuka kar Aapke charnon mein mai Aapse kehti hoon.

Na hai mujhe koi gyan
Na mujhe karna aaye dhyan
Hoon satya saar se anjaan
Aap deejiye sumat ka daan.

Aapka rutaba alishaan
Aap karunanidhaan
Aap pooran Guru mahaan
Aap swayam Shiv Bhagwaan.

Aapke dar pe aane ke baad
Kaheen aur jaane kee chaahat nahin
Aapke dar pe aane ke baad
Kaheen aur jaane kee zaroorat nahin.

Kyunki sabse ooncha dar hai Aapka dar
Yahaan se safar jabb se hua hai agrasar
Tabb se hua hai rooh aur mann par kuch aisa asar
Ki jee chaahe Aapke charnon mein hee har janam jaaye guzar.

Swarg ya mukti ka nahin maalum mujhe
Mujh nacheez ko toh kewal ye soojhe
Ki sukh praapti hai Aapke kamal charan mein
Isliye mai toh sada rehna chaahoon Aapki sharan mein.

Kyunki phir mai jis bhi haal mein hoon, hoon surakshit
Kyunki Aapki sharan mein sadaiv hai mera hitt
Aap Hain mujh bachchi ke liye mata pita, mujh shagird ke liye murshid
Ashish deejiye ki mai Aapke hukm ko sir aankhon par rakh kar maanoon nit nit.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Mann Mein Hain Kuch Khayaal (09/04/2024)

Leave a comment