Guru Ke Roop Mein Parwardigaar (09/06/2024)

September 6, 2024

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻

#2392
    Guru Ke Roop Mein Parwardigaar

Satguru pyaare,

Aapse chhipaaye na chhipe mera gumm
Kumm se kumm Aapke saath baith vo ho toh jaata hai kumm
Lekin kabhi kabhi ye gumm dheeth ho jaata hai
Phir ye bada rulaata hai
Rula kar bahut sataata hai
Tabb kuch samajh nahin aata hai
Aur sehem kar dil ghabraata hai.

Bahut si kamiyaan hain meri bhakti mein
Par koi kamee ho nahin sakti Aapki shakti mein
Meri ashavaadi aankhon mein hai jo nami
Vo arzi karti hai ki duur keejiye meri bhakti mein kami
Taaki mai Aapki bhakti mein kabhi na thakoon
Aur mai Aapko prasann kar sakoon.

Gumm kee galiyon mein na kho jaaoon
Achche karmon ka beej bo paaoon
Sakaratmakta atmasaat karti rahoon
Mehnat din raat karti rahoon.

Aap toh rehmaton ka bhandar Hain
Aap toh mera sansaar Hain
Aap meri bhakti ka aadhaar Hain
Aap Guru ke roop mein Parwardigaar Hain.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Guru Ke Roop Mein Parwardigaar (09/06/2024)

Leave a comment