Paheli Aur Saheli (09/16/2024)

September 16, 2024

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»

#2402
                 Paheli Aur Saheli

Aye zindagi, tu bann kar reh gayi hai paheli
Aye maut, ek tu hee lagti hai aslee saheli
Tum dono hee ho Guruji ke niyantran mein
Isliye Unse arzi hai mann hee mann mein…

Ki chaahe ho maut ya zindagi ka pal
Mujhe sambhaale Unhee ka aanchal
Kyunki aur kaheen na milegi aisee suraksha
Aur kaheen na milega aisa pyaar
Jaisa unke aanchal mein milta hai baar baar.

Paheli boojhne kee mujh mein nahin hai kshamta
Guruji chalaa rahe Hain toh mai rahi hoon chal
Unhe hee maalum hai kabb saheli sahi hogi
Tabb takk vo bhi Unkee marzi se jaayegi tal.

Zaroori hai dono se preet
Kyunki dono hain ik reet
Jo hogi nibhaani
Jabb takk milan kee bela nahin hai aani.

Paramatama se rooh ke milan kee bela
Sabko ye safar tayy karna hai akela
Kewal Guruji ka saath aayega kaam
Vyarth hai baaki har intazaam.

Pehle bhi shukrana thaa Guruji ka
Aaj bhi hai shukrana
Waqt ne toh hai guzar jaana
Lekin shukrana ne sada kaam hai aana.

Shukrana Guruji kee bakhshindagi ka
Shukrana bandagi ka
Har paheli ka shukrana
Har saheli ka shukrana.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Paheli Aur Saheli (09/16/2024)

Leave a comment