October 31, 2024
Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻
#2447
Anand, Nirmal Aur Anant
Paawan naam Hai Guruji ka
Japp le tu din raat
Abb lagan lagaa le ek tu Unse
Na bhatak tu ghat ghat.
Anmol hai tera har shwaas
Usey na jaane de vyarth
Abb nahin samjha toh kabb samjhega
Apne janam ke uddeshya ka arth?
Pooran Guru ne tujhe hai sweekaara
Agar abb bhi tu phirna chaahta hai maara maara
Toh ye hogi teri badnaseebi
Kyunki ho na paayegi Guruji se teri kareebi.
Aur jo tu raha Guruji se duur
Toh tujh par na chadh paayega Unka noor
Apni swatantra ichcha mein karna hoga tujhe sadupyog vivek ka
Is se pehle tu aur bhatak kar dhoondhta rahe dar araadhya anek ka.
Ek se kar preet
Ek ko kar samarpan
Ek sangg yoon jud
Ki Uss Ek ka ho jaaye tera mann.
Teri khushkismati ne tujhe galey se hai lagaaya
Jabb se tujhe Guruji ne Apne dar par hai bulaaya
Kitne khade hain is shubh mauke ke intazaar mein
Isliye sanshay na kar aakar is paawan dwaar mein
Kyunki Guruji ka dwaar hai sachkhand
Yahaan jalti hai jyot akhand
Yahaan kalyaan hota rahega beantt
Yahaan milta rahega anand, nirmal aur anant.
🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹
Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja
Anand, Nirmal Aur Anant (10/31/2024)