October 22, 2024
Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻
#2438
Kitna Shubh Thaa Veh Pal
Kitna shubh thaa veh pal
Jabb Guruji ne mujhe bulaaya Apne dar par
Uss se pehle aur uske baad ka safar
Dono mein hai kitna antar.
Guruji ka chintan badhne laga hai
Chinta ho gayi hai kumm
Mushkilein abhi bhi hain kayi
Kintu Guruji ke samaksh kumm hai unka dumm.
Mann nahin lagta Guruji ke khayaalon ke bin
Shubh hota hai abb har din
Har din kisee yathaarth kee oar
Le chalti hai chetna
Har din Guruji ke kareeb honei kee
Miltee rehti hai prerna.
Sewa aur simran ka atoot naata
Aane lagaa hai samajh
Sangat ke anubhav sunkar
Anek duvidhaayein jaati hain sulajh.
Guruji kee yaad mein jeeti hoon
Unke naam ka amrit peeti hoon
Ye Guruji ka hee ashirwaad hai
Har ashirwaad ke liye Unhe dhanyawaad hai.
Guruji ko prasann karte rehne ka
Har din badhta jaata hai chaav
Baat jo aur jaise bhi shuru ho kisee se
Guruji kee baaton kee oar le jaata hai bahaav.
Is bahaav mein yoon behti jaaoon
Ki poore jagg ko Unkee mahima sunaaoon
Guruji ke pyaar ke mahasaagar mein behti jaaoon
Aur Guruji mein hee samaa jaaoon.
🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹
Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja
Kitna Shubh Thaa Veh Pal (10/22/2024)