Aayi Hoon Aapke Dwaar (10/21/2024)

October 21, 2024

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»

#2437
           Aayi Hoon Aapke Dwaar

Param pita Guruvar mere,

Aayi hoon Aapke dwaar
Kar rahi hoon intazaar
De deejiye Apna deedar
Pukaaroon mai baar baar.

Din se raat hoti hai
Raat se hota hai din
Meri toh par gati nahin Aapke bin
Abb takk intazaar ke lamhe rahi thi gin gin.

Abb aur gina na jaaye
Khud jeena na aaye
Jabb takk rooh Aap mein na samaaye
Tabb takk ye rooh kaise sukoon paaye.

Badhti jaa rahi hai pyaas
Uttejit hoti jaa rahi hai aas
Vireh mein honei lagi hoon udaas
Duniya nahin aati raas.

Shukrana Aapka ki neend khul rahi hai
Shukrana ki zameer kee zameen dhul rahi hai
Shukrana Aapka ki Aap laaye Hain yahaan takk
Varna mai toh chalte chalte kabb kee gayi thi thakk.

Aise anmol aur aseem hain mujh par Aapke ehsaan
Ki mera beantt shukrana bhi kumm hai, mere maalik meharbaan
Mera naman sweekar keejiye
Mujhe Apne kaabil banaa deejiye.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Aayi Hoon Aapke Dwaar (10/21/2024)

Subah Shaam Ka Khel (10/20/2024)

October 20, 2024

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»

#2436
             Subah Shaam Ka Khel

Subah shaam ke khel se
Koi nahin bach paaya hai
Kintu har veh jann khushkismat hai
Jis par Guruji kee chhatra chhaaya hai.

Kabb aa jaaye jeevan kee shaam
Kisee ko nahin hai khabar
Isliye kyun na jeevan kee subah kee har kiran ka
Anand lekar karein jeevan basar.

Shaam ke baad swaabhaavik hai subah ka aana
Lekin aksar mushkil ho jaata hai shaam ke saath raat ko bitaana
Guruji ke charnon mein ho jiska ashiyaana
Uske liye vaheen guzarta hai subah shaam ka afsaana.

Pehne huey Guruji ke naam ka raksha kavach
Bhakt kitne anginat kashton se jaata hai bach
Shaam kee mayoosi aur chunautiyan uska santulan nahin sakti hain toad
Kyunki Guruji uss se muh moad kar kabhi nahin dete usey chod.

Jiska ekmaatra sahaara ho Guruji ka naam
Uske liye Guruji ke charnon mein hai sukh ka dhaam
Ek vahee toh sthaan hai jahaan
Subah jaisi hee sunehri ho sakti hai jeevan kee shaam.

Kyunki Guruji ke charnon mein behti hai mamta kee dhaara
Kyunki Guruji ke charnon mein hai ruhaaniyat ka ujiyaara
Tabhi toh Unke charnon mein jhuk kar miltee hai ruhaani oonchaayee
Guruji ke charnon mein hai gyan kee gehraayee.

Guruji ke charnon mein hoti hai sabki sunvaayee
Unke charnon mein subah shaam kee niyati kee ho sakti hai dobaara likhwaayee
Guruji ke charnon ka amrit hai kalyaanmayi aur jeevan daayi
Unke prataapi charnon kee hai aisee vaddi vadiyaayee.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Subah Shaam Ka Khel (10/20/2024)

Ye Guruji Ka Dar Hai (10/19/2024)

October 19, 2024

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»

#2435
 Ye Guruji Ka Dar Hai

Ye Guruji ka dar hai
Ye Bholenath ka ghar hai
Yahaan nirantar behta hai pyaar ka amrit
Har pal hota hai yahaan bhakton ka hit.

Guruji ka sparsh sheetal ruhaani
Paati hai saari sangat deewaani
Guruji ka hai aisa spandan
Ki bhaav vibhor ho jaata hai mann.

Is dar par bhoole bhatke aakar
Paa lete hain sahi disha
Is dar par Guruji ke darshan paakar
Beet jaati hai niraasha kee nisha.

Guruji khud hee yahaan bulaate Hain
Koi yoon hee nahin aa sakta yahaan
Janmon ke paap dhul sakte hain
Mit sakte hain atma par se paapon ke nishaan.

Guruji ke dar par mumkin hai
Bhakt ka sampoorna kalyaan
Unke liye sab ek se hain
Sabhi bhakt hain Unkee santaan.

Kalyuga ke is samay mein jo bhi
Pahunch paaya hai Guruji ke dar par
Usey zaroorat nahin jeene kee museebaton se darr kar
Kyunki uske angg sangg Hain mahaan Shiv avatari Guruvar.

Guruji ke dar par hotei aayein hain
Anginat bhakton ke imtehaan
Kaun, kabb, aur kaise utteerna hoga
Iska kewal Guruji ko hai gyan.

Roag ho tann ka
Bartan ho mann ka
Ya abhaav ho dhan ka
Guruji har kamee karein poori
Guruji ke dar par aa jaane se
Uddhaar kee khwaahish na rahe adhoori.

Guruji kee sharan mein har lok ka sukh hai
Unke dar kee oar hee pyaasi hawaaon ka rukh hai
Unke dar kee divyata ke aagey jhukta har dukh hai
Ve jaanein kaun Gurumukh aur kaun mannmukh hai.

Apna aanchal ashish se bhar kar
Guruji viraajmaan rehte Hain dar par
Unke dar par bhakt ka har janam jaaye guzar
Koi vardaan ho hee nahin sakta is se badhkar.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Ye Guruji Ka Dar Hai (10/19/2024)

Safar Kee Ghadiyan (10/18/2024)

October 18, 2024

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»

#2434
               Safar Kee Ghadiyan

Jabb raaste par ho makhmali ghaas
Aasaan hota hai chalna
Lagta hai ki bin ghadi dekhe hee
Palak jhapakne se pehle hee beet jaati hai har ghadi
Aur jabb raasta ho pathreela
Mushkil hota hai chalna
Aisa lagta hai ki ghadi kee ghadiyan beet jaane par bhi
Apni gati ruk kar vaheen kee vaheen hai khadi.

Har ghadi mein hotey hain ek jitne hee pal
Par mushkil paristhiti mein lagta hai aisa
Ki aane mein bahut der kar raha hai aane wala kal
Aur aise mein bahut zaroori hai manobal.

Isliye jo aa rahe hon raaste mein pathar
Toh awashya pichhle karmon ke phal de rahe hain takkar
Lekin Guruji tere angg sangg Hain har ghadi
Ye sachchaayee hai sabse badi.

Aur jo aa rahi hai paaon ke neeche makhmali ghaas
Toh yaad rakhna zaroori hai ye baat khaas
Ki kabhi bhi ubhar sakta hai koi pathar raahon mein
Jo rukaavat bann sakta hai tere chalte paaon mein.

Isliye jaise bhi tu har ghadi raha ho guzaar
Chaahe jaisi bhi mehsoos ho rahi ho waqt kee raftaar
Chaahe makhmali ghaas ho ya mil rahe hon pathar baar baar
Tu Guruji ka shukrana karta chal baarambaar.

Saath hee Unse bakhshish maang har kadam par
Tu Guruji par yakeen kar
Ye hai kalyaan ka dar
Jaisa bhi hoga tera safar
Is satya mein santosh kar
Ki Guruji kee meher sada rahegi tujh par.

Beet jaayengi safar kee saari ghadiyan
Banti jaayengi ve satsang kee ruhaani ladiyan
Aisee hai Guruji Maharaj kee vadiyaayee
Ki tanhaayee mein bhi goonj uthti hai shehnaayee.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Safar Kee Ghadiyan (10/18/2024)

Muskuraa Lo (10/17/2024)

October 17, 2024

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»

#2433
         Muskuraa Lo

Muskuraa lo, Guruji Hain tumhaare angg-sangg
Varna na hotei tumhaari zindagi mein aise anokhe rangg
Kyun mushkilon se darr rahe ho
Arey, tum inke dwaara tarr rahe ho.

Jo masti bhi tum kar rahe ho
Jin bhaavnaonmein bhi tum bahe ho
Ye sabb hai Guruji kee rehmat
Unkee raza se raho sehmat.

Bin jaane Guruji kee leela ke raaz
Muskuraahat ko banaa lo apna andaaz
Kyunki raaz toh raha aane se samajh
Balki tark vitark se aur bhi jaaoge tum ulajh
Tumhaare khush rehne se Guruji honge prasann
Is baat par karo manan aur karo Guruji ka anusaran.

Guruji se tum karte raho pyaar
Tumhaare liye Unka pyaar toh hai aparampaar
Unhe prasann rakhna tumhaara bahut zaroori farz hai
Ve tumhaare karmon ka bhaar sambhaal rahe Hain, jinka tum par bahut karz hai.

Aur koi nahin is karz ko utarvaa sakte
Aur Guruji ye sab karte nahin thakte
Maanjo, maanjo, apne mann ka bartan
Muskuraate huey sajaao jeevan ka upvan.

Jabb takk shareer nahin bann jaata hai shav
Hotey rahenge tumhe anekon anubhav
Yaad rakho ki rooh ka safar toh rahega jaari
Jabb takk aati nahin Param pita mein samaa jaane kee baari.

Isliye har din rooh ko karo tayyaar
Kar ke rooh ka poshan
Aur Guruji Parwardigaar
Karte rahenge safar ko roshan.

Is baat mein kitnee raahat hai
Kyunki yahee toh rooh kee chaahat hai
Isliye muskuraa lo, Guruji kar rahe Hain tumhaara kalyaan
Muskuraate huey kalyaan ke is vardaan ka karo tum sammaan.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Muskuraa Lo (10/17/2024)

Phoolon Ka Guldasta (10/16/2024)

October 16, 2024

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»

#2432
Phoolon Ka Guldasta

Phooldaan mein sajaakar
Ichchaaon ke guldaste ko
Phooldaan mein ahankar ka jal bhar kar
Maanav chal pada duniya ke baazaar mein.

Bheed bahut thi, bharaa thaa baazaar
Aawazein bhi aa rahin thi kayi hazaar
Kuch jann chal rahe thei, kuch kisee savaari par thei savaar
Kuch bheekh maang rahe thei, kuch lagg rahe thei raees zameendaar.

Har koi apni hee dhun mein raha thaa baazaar se guzar
Sabhi ko jaldi thi ki mukammal ho jaaye safar
Sooraj dhalne lagg raha thaa
Jinhonei din bhar dhoop ko saha thaa
Ve huey vyaakul aur idhar udhar bhaagne lagey
Jaise lambi neend se hon jaagne lagey
Kisee konei mein shuru ho gayi ladaayi
Toh dooje moad par kisee ko rulaane lagi mann kee tanhaayee
Kaheen duur bajne lagi ghantiyan mandir kee
Kisee kisee ko yaad aane lagi apne ghar kee.

Jaise jaise sooraj dhalta raha
Maanav guldasta thaame huey chalta raha
Veh thakaa nahin, bhatka nahin, uska hua usey abhimaan
Ek khambhe se takraaya aur gir gaya uske haath se phooldaan.

Toot gaya veh phooldaan
Ichchaaon ke phool gaye bikhar
Lekin maanav mein ik lau jalee
Uskee jaagriti gayi nikhar.

Usey sab kuch nirarthak sa honei lagaa prateet
Usey ehsaas hua ki kitnee khokhli hai har duniyavi ichcha aur preet
Unn phoolon ke guldaste ke phooldaan kee bhanti
Aur uske mann mein hui bahut ashanti.

Tabhi kisee ne thaama uska haath
Aur kaha uss se ki veh chale uske saath
Maanav ne dekha ki vo thaa ek farishte ke jaisa
Usne maanav ko achanak ek raasta dikhaaya aisa
Jahaan bahut saari sangat thi
Sabb par ruhaani si rangat thi
Maanav ko lagaa ki veh ek pal mein hee pahunch gaya ho kisee doosre sansaar mein
Ek kashish ne usey kheench liya uss sundar se darbar mein.

Vahaan goonj rahi thi Gurbani
Sabb chupchaap rahe thei sunn
Maanav ko bahut raas aane lagi
Veh sakaaratmak si dhun.

Baithe huey vahaan
Dekha usne jahaan jahaan
Usey farishte ka swaroop nazar aaya
Aur jabb dhoondha usne farishte ko
Toh farishte ko maanav ne gaayab paaya.

Gurbani ke baad hua jaap aur Shivji kee Aarti
Maanav kee rooh toh rahi farishte ko pukaarti
Usey mehsoos hua farishta apne saath hee
Tabhi Aarti ke baad ek sangat ne baat kee-
Veh baat thi anubhav uss sangat ka Guruji ke sangg
Aur swaroop ko dekhte dekhte maanav par chadhne lagaa Guruji ka rangg
Usey samajh aaya ki Guruji aaye thei farishte ke roop mein swayam
Maanav ko lagaa ki usey mil gaya ho uss shaam ek naya janam.

Abb Guruji kee kripa se veh Guruji se jo juda
Toh vaapis kaheen aur na muda
Satsang simran sewa bann gaye uskee dincharya ka hissa
Guruji kee sharan mein sudharne lagaa uske jeevan ka kissa.

Vinamrata ka jal bhara usne phooldaan mein
Bakhshishon kee ichchaaon ke phool usmein sajaaye
Usne Guruji ke prati shukrana ke geet gaaye
Aur Guruji ke charnon mein apne jeevan ke pal bitaaye.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Phoolon Ka Guldasta (10/16/2024)

Bagiya Mein Khiley (10/15/2024)

October 15, 2024

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»

#2431
 Bagiya Mein Khiley

Bagiya mein khiley thei phool
Aayi unhe bahut anokhi khushboo
Ye soch kar ki khushboo unse hee hai aayi
Phool toh kya, har kalee bhi itaraayi.

Bagiya ne unhe samjhaaya
Ki itraane mein na karein ve waqt zaaya
Bagiya ne unhe bataaya
Ki Guruvar baghban ke roop mein hai aaya.

Bagiya ne ishaara kiya jahaan
Kaliyon aur phoolon ne dekha vahaan
Dikha unhe ik sundar sa purush noorani
Jiske abha mandal kee shakti thi bahut ruhaani.

Rutaba thaa Unka alishaan
Jaise maanav roop mein hon Bhagwaan
Bagiya ne prem se kiya ailaan
Ki Ve Hain Guruji, bagiya ke baghban.

Ye sunte hee kaliyon aur phoolon ne sees jhukaaya
Guruji ka ashish sab par khushboo bann kar chhaaya
Guruji ne sabhi par Apni rehmat ka amrit barsaaya
Kuch phool khushi se phoole nahin samaaye, kuch ko prem bhaav mein rona bhi aaya.

Guruji ne bagiya mein kee sayyr
Jahaan jahaan padey Unke payyr
Hari bhari ho gayi vahaan kee ghaas
Guruji ke sparsh se hua parivartan khaas.

Guruji kee ruhaani maujoodagi sada ke liye
Karne lagi bagiya mein vaas
Ve shaareerik taur par bagiya se chale gaye
Par bagiya bann kar rahi Guruji ka das.

Guruji kee meher se hum sabke jeevan kee bagiya
Khilee rahe Unn baghban ke pyaar se
Hamaare antas aur rooh ka poshan hota rahe
Guruji Maharaj ke ashish bhare dulaar se.

Baghban Hain Guruji Maharaj
Bhagwaan Hain Ve sundar sartaj
Nishchay hee sanvarte rahenge hamaare kaaj
Buss, Guruji karte rahein hum par raaj.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Bagiya Mein Khiley (10/15/2024)

O Guruji Ke Pyaare (10/14/2024)

October 14, 2024

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»

#2430
                 O Guruji Ke Pyaare

O Guruji ke pyaare
Tujhe raasta karey ishaare
Manzil tujhe pukaare
Uth, chal tu Guruji ke sahaare.

Na baith haath par haath dhar ke
Tu charnon mein hai Ishwar ke
Zaroorat nahin jeene kee darr darr ke
Zaroorat nahin bhatakne kee dar dar pe.

Unhonei hee sambhaala thaa tujhe kal
Jabb tu maayoos rehta thaa har pal
Ve sambhaal rahe Hain tujhe aaj
Kal bhi tujhe sambhaalenge Ve Guru sartaj.

Guruji dekh rahe Hain teri asthaa
Ve seench rahe Hain tera raasta
Anugraha ke amrit se har kadam par
Rehem karte Huey tere har praarabdh karam par.

Ye nahin ho raha itefaaq se
Balki tu mukt ho karmon ke hisaab se
Isliye Guruji karaa rahe Hain ye raasta tayy
Ve angg sangg Hain, tu reh nirbhay.

Na vilamb kar Unke hukm ke amal mein
Buss, samarpit kar khud ko Unke charan kamal mein
Tujhe khonei na denge Guru sarkar
Ve awashya pahunchaayenge tujhe uss paar.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

O Guruji Ke Pyaare (10/14/2024)

Ramne Lagi… (10/13/2024)

October 13, 2024

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»

#2429
                       Ramne Lagi…

Param poojya Guruji Maharaj,

Ramne lagi mai Aapke rangg mein
Aap chalne lagey mere sangg mein
Ye Aapki rehmat hai Guruvar
Ki mai bhatakti nahin idhar udhar
Aapka shukriya baarambaar
Ki Aap Hain mere jeevan ka aadhaar.

Khol deejiye gaanthein mere chitt kee
Buddhi dete rahiye mujhe mere hitt kee
Aapki sharan mein hoon toh bachi hui hoon na jaane kitne aur santaapon se
Aap hee mukti dilaayiye mujhe mere mann, karma, vachanon se jude paapon se.

Kyunki mujhe toh kuch gyat nahin
Mai karna chaahti hoon vahee
Jo Aap chaahein ki mai karoon
Jabb takk mai aakhiri saans loon.

Aakhiri saans ke pehle aur baad
Meri rooh ko milta rahe Aapka ashirwaad
Namumkin hoga Aapke ashish ke bin rooh ka safar safal
Kyunki Aap hee Hain jo karmon ke parinaam takk sakte Hain badal.

Aapke ek ishaare se rukh badal leti hain hawaayein
Aapke hukm ka amal kar bhakt jann apna kalyaan karva jaayein
Har veh shakhs itna bhaagyashaali hai jisey Aap Apne paas bulaayein
Aapki sharan mein sabhi bhakt anupam ashish aur adviteeya anand paayein.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Ramne Lagi… (10/13/2024)

Anivaarya Hai (10/12/2024)

October 12, 2024

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»

#2428
                     Anivaarya Hai

Anivaarya hai karna Guruji par poora bharosa
Na ki buss thoda sa
Kyunki gati nahin bharose bin
Beshak koshish kar lo raat aur din.

Guruji se judey rehne ke liye
Bharosa karna hai anivaarya
Jitna bharosa, utna samarpan
Utne naam rass se garbhit hoga har kaarya.

Bharosa bhar deta hai
Naam kee pyaas mein mithaas
Bharosa hai ik stambh
Jiske sahaare naam rass aata hai raas.

Bharose se bhaavna ko poshit kar lo
Bharose kee baarish se mann ko bhar lo
Maang lo Guruji se aisa bharpoor bharosa daan
Ki bheege mann mein rahe hee na sanshay ka koi sthaan.

Guruji Hain Guru ke roop mein Shiv avatari Ish
Bholenath se paa lo bharose kee bakhshish
Guru kripa se bhatki rooh ko prerna mil paayegi
Guruji kee meher se bikhree hui zindagi nikhar jaayegi.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Anivaarya Hai (10/12/2024)