Naam Ke Roop Mein Sada Meri Rasna Par Basna (11/13/2024)

November 13, 2024

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻

#2460

Naam Ke Roop Mein Sada Meri Rasna Par Basna

Param poojya Guruji Maharaj,

Naam ke roop mein sada meri rasna par basna Aap
Gyan ke roop mein viraajmaan rahiye mere girebaan mein
Noor ke roop mein mere antas mein jaayiye yoon bass
Ki ruhaaniyat ke roop mein mere shwaas shwaas mein ho Aapka vaas.

Aapki khushboo se mehekti rahe meri rooh
Aapke ruhaani sparsh se milta rahe haardik harsh
Aapki prerna jagaaye rakhe meri chetna
Aapki mamta badhaati rahe meri kshamta.

Aapki chhavi ke karzdaar hain chaand aur ravi
Har roop se prataapi aur sundar Aapka har swaroop anoop
Aap itne dayalu ki aur koi nahin Aap jaisa kripalu
Aap sarvshaktimaan, Aap sabse mahaan, Aap hee Pradhaan.

Aapki sharan mein hota rahe jabb takk hona hai janam maran
Rakh kar mujhe Apne hee dar par rakhe rahiyega Apna haath mere sir par
Aapke diye har daan aur vardaan mein hee hai mera kalyaan
Mai agyani anjaan, Aap swayam Bhagwaan.

Guruji, Aapki yaad mein beeta har pal hota hai safal
Arzi hai ki mere jeevan ka koi bhi pal na ho vifal
Yaani ki har pal ko karey aabaad Aapki madhur yaad
Pyaare Guruji, sada meri fariyaad sunn-ne ke liye Aapka dhanyawaad.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Naam Ke Roop Mein Sada Meri Rasna Par Basna (11/13/2024)

Leave a comment