November 15, 2024
Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar ππ»ππ»
#2462
Anokha Maza
Khushkismati maani jaati hai
Agar doobte ko mil jaaye tinke ka sahaara
Hum Guruji kee sangat ko mauka mil raha hai
Ki Unke raajya ke jahaaz mein savaar hokar paayein kinaara
Bhogon ke samundar ka
Paakar ashish Guruvar ka.
Naapa ya tola nahin jaa sakta hai
Is mubarak mauke ka mol
Guruji ne ye mauka daan mein dekar
Hamaari kismat ka har bandd darwaaza diya hai khol.
Har darwaaze kee har dehleez par mil raha hai aur milta rahega kalyaan ka uphaar
Guruji raajya ke samrat Hain, aur hamaare paalanhaar
Hum Unkee praja, Unkee santaan, Unka parivaar
Hamein doobne se bachaayein Ve taral taaranhaar.
Bhogon ke is bhavsaagar kee gehraayee
Guruji kee vadiyaayee ke mukaabale mein kuch bhi nahin
Guruji kee mahima toh hai aisee aparampaar
Ki Unke saamne na ke baraabar hai bhogon ke is samundar ka vistaar.
Isliye kyun ghabraayein hum is samundar kee gehraayee se
Kyun vichalit hon hum iske vistaar se
Kyun na ismein tayrne kee koshish ke dauran
Guruji sangg judey rehne ka prayaas karein seedhi taar se.
Paramatama se khud kee rooh ke rishte kee baat hai aakhirkaar
Ve sumat bakhshein ki Unkee har ichcha ho hamein sweekaar
Raazi rahein agar usmein jo ho Unkee raza
Toh bhavsaagar ke safar ka aa jaayega anokha mazaa.
πΉπΉπΉπΉπΉπΉπΉ
Jai Guruji ππ»ππ»
Dhirja
Anokha Maza (11/15/2024)