Aapke Charnon Ke Taley (11/29/2024)

November 29, 2024

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»

#2476
          Aapke Charnon Ke Taley

Param poojya Guruvar mere,

Aapke charnon ke taley rehne kee bhi nahi meri aukat
Phir bhi Aapne dee hai Apne charnon mein sir jhukaane kee daat
Kalpana bhi nahin kee thi ki kabhi milegi aisee sunehri saugat
Shukrana Guruji, ki Aapne diya hai ye anupam ashirwaad.

Aapke charnon kee mahima akhand hai
Aapke charnon mein hee sachkhand hai
Aapke charnon mein hai atulneeya sukh
Jiska antas Aapke charnon mein jaaye jhuk
Uss se pareshaaniyon ko moadna padta hai rukh
Kyunki Aapke charnon mein hai suraksha nishchit
Aapke charnon mein aane se ho jaata hai hitt.

Koi raat nahin rehti andheri
Nahin rehti jeevan mein ujaale kee deri
Barasta hai Aapka ashirwaad
Jo karta hai antas ko aabaad
Rooh takk tarne lagg jaati hai
Mann kee mai marne lagg jaati hai
Apni tuchhta ka badhta jaata hai ehsaas
Aapke charnon ka sukh hai itna khaas.

Jitna jhukta hai mann
Utna rukta hai veh kshan
Manan ke liye
Vandan ke liye
Aur jalte hain deeye
Ruhaani jaagriti ke
Sudharti aatmik aakriti kee.

In deeyon se hota hai aisa prakash
Jis se roshan hota hai apne bheetar ka mann roopi akash
Mulaakaat hoti hai seher se
Ye sab hota hai kewal Aapki hee meher se.

Guruji, Aapke charnon mein meher hai apaar
Aap hee Guru, Aap hee Parwardigaar
Aapke charnon mein aakar ho jaayega beda paar
Aapki kripa se badhta jaaye Aapke charnon ke prati mera pyaar.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Aapke Charnon Ke Taley (11/29/2024)

Leave a comment