December 1, 2024
Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻
#2478
Aapke Dar Par Hee…
Mere Satguru pyaare Parwardigaar
Mere Guruvar nyaare taaranhaar
Mere murshid Aap hee kirpadhaar
Shukrana karoon Aapka baarambaar.
Bulaakar mujhe Apne darbar mein
Mauka diya bheegne ka Aapne Apne pyaar mein
Varna na jaane kitne aur janam beet jaate is intazaar mein
Ki bheegoon Aapke pyaar kee bauchhaar mein.
Aapke naam se shuru hota hai prabhaat
Aapko shukrana karte huey hoti hai raat
Goonjta hai bheetar Aapka naam
Dikhta hai bheetar Aapka dham.
Raasta jahaan jahaan le jaata hai
Aapka noor hee nazar aata hai
Jhaank leti hoon gireban mein jabb jabb aati hai Aapki yaad
Har lamhe mein mehsoos hota hai Aapka ashirwaad.
Kabhi socha hee na thaa ki is tareh se Aap mein jaaoongi kho
Abb toh lagta hai aisa ki jo hona hai jaaye ho
Buss, chhoote na kabhi bhi Aapka dar
Aapke dar par hee mukammal ho in saanson ka safar.
🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹
Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja
Aapke Dar Par Hee… (12/01/2024)