Guruji Ke Bulaane Par (12/11/2024)

December 11, 2024

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»

#2488
             Guruji Ke Bulaane Par

Guruji ke bulaane par
Bhakt pahunchta hai Unke dar par
Koi karmon ke bojh ka maara
Koi aata hai bilkul thakaa haara.

Koi aata hai muskuraate huey
Toh koi aansoo bahaate huey
Koi bin jaane kaaran Unke dar par aane ka
Koi utsuk hota hai jholi phailaane ka.

Aakar Guruji ke dar par
Hota hai kuch aisa asar
Ki mitne lagg jaata hai darr
Aisee kripa karte Hain Guruvar.

Jo bhi ho paristhiti
Jo bhi ho bhakt kee sthiti
Milta hai usey Guruji ka ashirwaad
Milta hai usey Guru prasad
Chaahe vo jaane ya na jaane
Chaahe vo maane ya na maane.

Ye hai Guruji kee vaddi vadiyaayee
Unhonei sada saari sangat par kripa hai barsaayee
Karte aaye Hain Ve sabka kalyaan
Aise Hain Ve karunanidhaan.

Jo bhi aaye jis bhi paristhiti ya sthiti mein
Hotey hotey hota hai uska uddhaar
Kisee ka ho jaaye ek hee pal mein
Kisee ko karna padd jaata hai intazaar.

Guruji kee rehmat se judi rahe Unke sangg preet
Koi aur nahin hai Guruji ke jaisa meet
Buss, Guruji yoon hee bulaate rahein
Sabhi par karuna barsaate rahein
Hamaare har vichaar aur karma par ho Unhee ka raaj
Toh awashya hee sanvar jaayenge hamaare saare kaaj.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Guruji Ke Bulaane Par (12/11/2024)

Satya Ke Strot (12/10/2024)

December 10, 2024

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»

#2487
                   Satya Ke Strot

Satya ke strot
Satya ke aadhaar
Satya kee soorat
Swayam satya ke saar
Aur phir satya ke bhi paar
Hain Guruji Sarkar.

Sarkaron ke sarkar Hain Guruji
Ve hee Hain taaranhaar
Kalyuga mein aaye is paar
Bashar roop mein Shiv avatar.

Kitnon ko diya Unhonei taar
Aagey bhi aate rahenge Unke dwaar
Bhakt jann kayi hazaar
Ik baar nahin, balki baar baar.

Guruji ke liye kuch nahin namumkin
Aur asal dhan na miley pooran Guru ke bin
Jo pooran Guru ne hai sweekaara
Toh kyun na maang lein asal sukh saara?

Kshanbhangur hain duniyavi sukh
Kayi toh dene lagte hain dukh
Kyun na Guruji kee marzi ke aagey jaayein jhuk
Aakhirkaar Unkee marzi se kalyaan kee oar hoga bhaagya ka rukh.

Satya ke swami ne thaama hua hai haath hamaara
Ho hee nahin sakta hai is se zyada shaktishali sahaara
Khudayee hee satya hai, satya Hain Parwadigaar
Aur in Maalik ke roop mein hamein bakhsh rahe Hain Guru sarkar.

Jahaan nirarthak hota hai har sukh bhautik
Guruji Hain Ve satya alaukik
Hain Ve satya ke prataapi pratimaan
Guruji Hain satya swayam, Guruji Hain Bhagwaan.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Satya Ke Strot (12/10/2024)

Halchal Mann Mein (12/09/2024)

December 9, 2024

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»

#2486
              Halchal Mann Mein

Koi din toh chayn se beet jaata hai
Toh kisee din koi na koi maajra sataata hai
Kabhi vyakul karta hai ekant
Kabhi mann hota hai ashant.

Beshak ho halchal mann mein
Beshak hon roag tann mein
Agar koshish poori ho vandan mein
Aur sakaratmakta ho spandan mein
Toh thamm jaate hain bheetar ke tufaan ek hee kshan mein
Aisa hona yakeenan mumkin hai Guruji ke chintan mein.

Aaj ka pal ho ya phir ho kal
Guruji sangg hotey Hain har pal
Kabhi ek roop mein, kabhi roop badal
Shant karne mann kee halchal.

Kabhi Unkee awaaz aaye
Kabhi titlee mandaraaye
Kabhi panchhi kee chehek
Toh kabhi ruhaani mehek…..

Kabhi svapn darshan ka ashish paaye das
Kabhi mor ka aana banaaye drishya ko khaas
Kabhi hawaa ke jhonke mein Guruji ka ehsaas
Kabhi Unke dwaara chuney huey shabad kee baani aur saaz
Kabhi satsang sunte huey Guruji kee divyata ke raaz
Yakeenan sada Guruji ke kalyaan karne ke hotey hain adbhut andaaz.

Guruji kee leela Ve swayam hee jaanein
Hamaara kalyaan usmein ki hum Unkee maanein
Unke khayaalon kee oar mann muda rahe
Unhee se mann juda rahe
Guruji kee sharan mein hai pareshaaniyon ka hal
Unhee ke charnon mein kasht jaayenge tal
Unhee ke kadmon mein samarpit kar ke mann kee halchal
Bhakt jann sanvaar paayein apna kal, aaj, aur kal.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Halchal Mann Mein (12/09/2024)

Kitne Neeven, Kitne Nyaare (12/08/2024)

December 8, 2024

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»

#2485

Kitne Neeven, Kitne Nyaare

Sabke hriday mein vaas karte Huey bhi
Sabki jholiyan bharte Huey bhi
Kitne neeven, kitne nyaare
Dayanidhi Hain Guruji pyaare.

Bannkar hamaari antaratma kee awaaz
Dekar hamein sahi aur galat ka ehsaas
Prerit karte Hain Guruji hamaara ruhaani prayaas
Besharte hamaari neeyat aur abhyaas mein ho aas
Uss raaste par chalte jaane kee
Aur manzil ko paane kee.

Dayalu Kripalu Guruji, sindhu Hain Ve mamta ke
Parmeshwar Paramatama, bhandar Hain Ve kshamta ke
Beshak lambi ho jeevan kee raat
Guruji kabhi na chodein bhakt ka saath.

Guruji toh basey Hain hriday mein
Ve toh har samay mein
Saath nibhaate Hain
Sambhaalte jaate Hain.

Samet kar bhakt ko
Aanchal mein Apne pyaar ke
Hamaare dil ke bikhre huey tukdon ko
Dekar dulaar bhare lamhe Apne deedar ke.

Namumkin ko mumkin karne wale
Karmon ko badalne wale
Karmon ko kar dein maaf bhi
Karmon ka khaata karein saaf bhi
Mahantaa mein anant hotey Huey bhi
Bholenath Bhagwant hotey Huey bhi
Kitne neeven, kitne nyaare
Dayanidhi Hain Guruji pyaare.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Kitne Neeven, Kitne Nyaare (12/08/2024)

Jis Pal (12/07/2024)

December 7, 2024

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»

#2484
                 Jis Pal

Guruji kee kripa se chal rahi hoon
Unkee goad mein pal rahi hoon
Kaise na rahoon muskuraati
Kaise na rahoon Unka gungaan gaati?

Jaisa bhi chal raha hai safar
Guruji kee daya ka hai asar
Apne hee jo karma aaye hain dukh bann kar
Katt rahe hain ve bhi Guruji ke dar par
Kya ho sakta hai is se behtar
Ki dukh ka upaay ho jaaye yaheen par
Sabse achchi aushadhi hai Guruji ka naam
Har dukh har kasht se raahat ka karta hai ye intazaam.

Guruji se hai vandan
Ki mere bheetar hota chale vaisa parivartan
Jaisa Guruji ko bhaaye
Jismein Unkee prerna samaaye.

Bhakti ras ka hota chale pravaah
Guruji ke maargdarshan se roshan hoti chale meri raah
Badhti rahe Unhee ko paane kee meri chaah
Duniyadaari kee chhoot-ti jaaye parwaah.

Guruji kee hee sharan mein rahoon aakhiri saans takk
Uske baad ka safar bhi guzare Unkee sharan mein
Bhaagya toh mera khil gaya thaa usee pal
Jis pal Guruji ne jageh dee thi mujhe Apne kamal charan mein.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Jis Pal (12/07/2024)

Anant (12/06/2024)

December 6, 2024

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»

#2483
                            Anant

Guruji ka sneh anant hai
Jo chalna rukey, ye usey chalaaye
Jeevan ka sabse udaas lamha bhi
Isee sneh ke sahaare guzar jaaye.

Guruji kee mamta anant hai
Guru goad mein bhakt ko sambhaale
Girne se bachaaye bhakt ko
Guru swayam hee bhakt ko paale.

Guruji kee shakti anant hai
Har chunauti ka hai ismein upaay
Guru bhakt ke liye har mushkil se ladey
Bhakt ke bina bataaye.

Guruji kee mahima anant hai
Bhalaa ho uska jo iska gungaan karey
Guruji dein bhakt ko abhay daan
Toh bhakt kyun kisee se darey?

Guruji kee kripa anant hai
Andhere mein bhi ujaala dikhaaye
Niraasha kee ghadiyon mein bhi
Santosh, saahas, aur dheeraj barsaaye.

Guruji kee daya anant hai
Har ghaav ko marham bann ye bhar paaye
Patit ko banaa de ye paawan
Patjhad mein bhi dikhla de saawan.

Guruji kee maya anant hai
Rachey ye leela nyaari har ghadi
Bhakton ko hairaan ye kar de
Anokhi aur adbhut hai badi.

Guruji ka ashirwaad anant hai
Har bhakt ka kalyaan karey
Koi bhakt is se vanchit na rahey
Ye ashirwaad sabhi kee jholiyaan bharey.

Aise prataapi Guruji ko saadar namaskaar
Anant, anant, anant ke swami aur srijanhaar
Bashar ka roop lekar dharti par aaye jo Shiv avatar
Har bhakt ko dene anant takk Ve Apna anant pyaar.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Anant (12/06/2024)

Mann Kee Ritu (12/05/2024)

December 5, 2024

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»

#2482
      Mann Kee Ritu

Badalta rahega baahar ka vaataavaran
Badalta na rahe vaataavaran mann ka
Mann kee ritu rahe sada suhaani
Toh sehejta se beet sakti hai zindagaani.

Guruji ne bakhsha hai simran
Jiske dwaara seencha jaaye jo mann
Toh baani roopi amrit se anubhav hogi sheetalta
Mann ke konei konei mein vaas karne lagegi nirmalta
Ye sheetalta aur nirmalta mann ko shant rakhne mein sahaayak banenge
Guruji Apni meher se mann ka bartan saaf karenge.

Sunenge hum Gurbani jitnee
Mann kee ritu sudharegi utnee
Hoga chintaaon ka haran
Hoga pavitrikaran
Sab Guruji ke ashish se
Unhee kee bakhshish se.

Nahin rukega vikaaron ka aakraman
Nahin rukega badalna baahar ka mausam
Lekin agar sthir aur balshaali ho jaayega mann
Toh ruhaani path par unnati karega jeevan.

Dharma, arth, aur kaam
Hain purusharth ke teen stambh ke naam
Inke sangg judi hai insaani jeevan kee yukti
Chautha stambh anivaarya hai, jiska naam hai mukti.

Mukti takk pahunchne ke liye
Anivaarya hai ruhaani unnati
Guruji ne liya hai hamein sharan mein
Ye hai hamaari khushkismati.

Unhee ke charnon mein jeevan yahaan
Unhee kee sharan mein swarg ka jahaan
Unhee ke aanchal mein mukti
Unhee kee suraksha mein atma ko miley tripti.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Mann Kee Ritu (12/05/2024)

Abb Bhi Nahin Sunega….. (12/04/2024)

December 4, 2024

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»

#2481
               Abb Bhi Nahin Sunega…..

Abb bhi nahin sunega antaratma kee awaaz
Toh kab sunega, pyaare
Sunn-ne kee koshish toh kar
Guruji kar denge tere vaare nyaare.

Guruji ko teri koshish par hoga naaz
Guruji ko teri neeyat par hoga naaz
Tujhe jagaayegi teri antaratma kee awaaz
Chod dega tu rehna pareshaan aur udaas.

Kyunki vo awaaz jo bheetar se aayegi
Vo tujhe Guruji kee divyata ka bodh karaayegi
Vo tujhe yathaarth bataayegi
Vo tujhe raasta dikhaayegi.

Kyunki vo awaaz hogi swayam Guruji kee
Jo hogi aisee ruhaani
Ki sanvar jaayegi tere har janam kee zindagaani
Sunn kar Guruji kee veh baani.

Guruji kee awaaz, Guruji kee baani
Teri rooh ko legi chhoo
Guruji kee khushboo
Atmasaat kar legi teri rooh.

Teri rooh bheeg jaayegi Guruji ke noor mein is kadar
Ki ek hee akhand jyot bheetar aayegi nazar
Nishchit hai Guruji kee meher ka asar
Tu apni oar se koshish toh kar.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Abb Bhi Nahin Sunega….. (12/04/2024)

Hamaare Bheetar, Hamaare Aas Paas (12/03/2024)

December 3, 2024

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»

#2480

Hamaare Bheetar, Hamaare Aas Paas

Hamaare bheetar, hamaare aas paas
Hain sarvavyaapi Guruji Maharaj
Yaani ki Ve har sthaan par Hain viraajmaan
Isliye Ve hamaare kisee vichaar aur karma se nahin Hain anjaan.

Is satya ko yaad karna kuch bhi sochne se pehle
Isey dhyan mein rakhna kuch bhi karne se pehle
Aur koi dekhe na dekhe, aur koi jaane ya na jaane
Guruji mein basaa Rabb hamaare har vichaar aur karma ko pehchaane.

Daro na Unse, Unhe karo pyaar
Aur satark raho har baar
Jitnee zyaada jaagrit rahegi chetna
Utnee hee veh banegi prerna
Achche vichaaron ko vichaarne kee
Aur apne karmon ko sudhaarne kee.

Guruji nahin Hain Guru saadhaaran
Bahut prataapi hai Unkee maya ka aavaran
Kyunki Ve SadaShiv Hain swayam
Jinse bhaybheet rehta hai Yamm
Jinke kamal charan mein sukh hain saare
Jinkee leela ke nazaare hotey hain nyaare.

Bholenath Hain Guruji pyaare
Bhakton ka bhola bhaav karein pasand
Bhakton ke adheen Hain Ve
Unka ashirwaad hota hai akhand.

Khule hain Unke duss dwaar
Ve swayam Hain nirankaar
Anant aseem nirvikaar
Shukr hai ki Unhonei kiya hai hamein sweekaar.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Hamaare Bheetar, Hamaare Aas Paas (12/03/2024)

Guruji Kee Yaad Mein (12/02/2024)

December 2, 2024

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»

#2479
              Guruji Kee Yaad Mein

Guruji kee yaad mein
Guruji ke manan mein
Jo bhakt guzaar le apna samay
Kumm hotey chalein uske sanshay
Duur hota chale uska bhayy
Uddhaar uska hai bilkul tayy.

Zaroorat nahin usey kisee aur kee
Guruji usey disha dikhaayein har daur kee
Unka naam kavach baney suraksha raaste ke har moad kee
Aaj ya kal uske jeevan mein zaroor kiran dikhtee hai sunehri bhor kee.

Guruji kee yaad ke sangg rehna
Ye hai itna mehfooz gehna
Jis bhakt ne ye anmol gehna hai pehna
Usne har chunauti ko yoon hai sehna
Maano vo hai ek halka sa jhonka hawaa ka
Ya chhota sa ghoont kisee kadvi dawaa ka
Jiska zor jald hee khatm ho jaata hai
Aur bhakt aagey badh paata hai.

Guruji de rahe Hain jo shraddha aur saboori
Inke dwaara aur bhi jald mitegi Unse duuri
Tabb takk Unkee yaad ko hriday mein basaa lo
Ekant mein bhi Guruji ke sangg muskuraa lo
Unkee yaad mein Unhee ke sangg gungunaa lo
Anokha hai ye ehsaas, isey galey se lagaa lo.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Guruji Kee Yaad Mein (12/02/2024)