January 2, 2025
Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻
#2510
In Galiyon Ka Safar
Kalyaan kee galiyon se rahe ho guzar
Rehmaton kee khushboo ko lo pehchaan
Bahut hee achchi kismat wale ho tum
Ki Guruji Maharaj ne tumhe liya hai thaam.
In galiyon mein gungunaate raho tum
Geet Guruji Maharaj ke
Goonj rahe hain yahaan taareef ke kissey
Bannkar satsang Inn sundar sartaj ke.
In galiyon mein jo bhi aata hai
Vo Guruji ka ashish paata hai
Chaahe ho in galiyon mein subah ya shaam
In galiyon ko roshan karta hai Guruji ka naam.
Isliye ghabraana nahin
Hichkichaana nahin
Tum ho Guruji kee nipun nigraani mein
Tumhe akhand suraksha milee hai zindagaani mein.
In galiyon mein kabhi nahin akele tum
Yahaan nahin hota koi bhi gumm
Guruji har lamha Hain tumhaare saath
Kaun kho sakta hai jabb sangg hon swayam naath?
Isliye bina huey laaparwaah
Hokar tum beparwaah
Guruji ke saanidhya mein rehkar nirbhay
In galiyon ka safar kar lo abb tayy.
🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹
Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja
In Galiyon Ka Safar (01/02/2025)