January 14, 2025
Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar ππ»ππ»
#2522
Taarne Wale Taral Taruvar
Taarne wale taral taruvar
Hain mere param poojya Guruvar
Neechhe Unkee chhaaon mein
Baithey huey Unke paaon mein
Antas yoon sheetal ho jaaye
Mann Unmein yoon kho jaaye
Ki na rahe koi sud-budh
Aur bhaav khud bakhud honei lagey shuddh.
Paapi bhi jaaye tarr
Jabb bakhshein Guruvar
Unkee rehmat ka asar
Hota hai saari sangat par.
Ye hai Unka hee badappan
Ki Ve karvaate Hain simran
Jis se raasta paata hai mann
Aur mann seekhta hai samarpan.
Duniyavee tufaan se Ve rakhte Hain hamein surakshit
Unkee kripa se pavitra paryaavaran mein saans leta hai chitt
Kyunki antakaran ramm jaata hai aise ruhaani samundar mein
Ki shukrana aur shuddhi ka bhaav umadta hai andar mein.
Jo dhyan karey in taruvar ke taley rakhkar neeyat nek
Guruji uss bhakt ko bakhshein vidya aur vivek
Ve jaanein har ek bhakt kee zaroorat pratyek
Yoon hee toh nahin Unkee chhaaon mein aana chaahein jann anek.
Guruji roopi taruvar dete dete na thakey kabhi
Unke ashish ko paane wale hotey hain kismat wale sabhi
In taruvar ka har phal hota hai kalyaankaari
In taruvar kee chhaaon mein surakshit rehti hai sangat saari.
πΉπΉπΉπΉπΉπΉπΉ
Jai Guruji ππ»ππ»
Dhirja
Taarne Wale Taral Taruvar (01/14/2025)