January 23, 2025
Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻
#2531
Mai Jahaan Kaheen Bhi Jaati Hoon
Mai jahaan kaheen bhi jaati hoon
Kabhi khud ko akela nahin mai paati hoon
Kyunki Guruji hotey Hain sada angg sangg
Barsaate huey Apni rehmat ka rangg.
Ye itefaaq nahin
Ye hai Unkee inaayat
Meri bhakti mein beshak hain anginat khaamiyaan
Lekin aseem hain Guruji kee meharbaaniyan.
Jo diya
Jitna diya
Jabb jabb diya
Guruji ka shukriya.
Ve hee jaanein
Kya hai mere liye sahi
Mai chaahoon agar
Toh bhi jaan sakti nahin.
Kyunki mai hoon asamarth agyani
Jaane anjaane mein karti hoon naadaani
Guruji Hain sarvgyani Paramatama bakhshanhaar
Jo jaanein mere har janam ka saar aur vistaar.
Guruji ne thaami hai jeevan kee doar
Zaroorat hee nahin dekhne kee kaheen aur
Unka saanidhya kar deta hai mujhe bhaav vibhor
Shukrana ke geet gaata hai mere mann ka moar.
🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹
Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja
Mai Jahaan Kaheen Bhi Jaati Hoon (01/23/2025)