Jee Chaahta Hai (01/25/2025)

January 25, 2025

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻

#2533
    Jee Chaahta Hai

Mere param pita Paramatama
Mere Guruji Maharaj
Jee chaahta hai Aapse kuch kuch kehne ka
Aur phir kehte hee rehne ka…

Aapki mamta aur meher
Aapki nirmalta aur nadar
Inke bin na ho jeevan basar
Inke sangg sabse mushkil samaa bhi jaaye guzar.

Aapki anukampa aur Aapka pyaar
Aapki daya aur Aapka dulaar
Sanvaarte hain mera ghar parivaar
Sudhaarte hain mera sansaar.

Maalik sampoorna tribhuvan ke
Sudhar jaayein vichaar mere mann ke
Bhram kee doar ko toad ke
Maya ke mehel se muh moad ke
Aapki kripa se mai paaoon veh vivek
Jis se khatm ho mera sanshay pratyek.

Maanoon Aapki vidhi, Aapka vidhaan
Bin maange aur bin dhoondhe koi bhi pramaan
Sumat dete rahiye taaki na ho jaaoon mushkilon mein pareshaan
Sweekaarti rahoon ki khushnuma mausam ke aagey peechhe aa sakte hain tufaan.

Aisa bharosa bakhshiye mujhe, mere Bhagwaan
Kyunki usee mein toh hai mera kalyaan
Dete rahiye mujhe aisee shuddhi aur buddhi ka daan
Ki mai atmasaat kar paaoon Aapka diya hua gyan.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Jee Chaahta Hai (01/25/2025)

Leave a comment