January 29, 2025
Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻
#2537
Guruji Kee Mauj
Mauj wale Guruji Hain
Hain Ve maa aur pita mahaan
Unkee haan mein haan milaayein
Unkee na ko bhi lein maan.
Kyunki Unkee haan aur na
Dono mein hai bhalaa hamaara
Unkee haan aur na hee toh hain
Hamaare liye har uljhan ka sahaara.
Ve Hain maalik, hum Unke das
Hum sewak, Ve swami
Kab aa jaayein Ve mauj mein
Ye baat kisee ne na jaani.
Unkee mauj mein jeena marna abb
Unkee mauj mein karna hai sabb
Yahee sahi hai chaahe hamein lagey ajab
Kyunki Guruji mein hee baste Hain Rabb.
Guruji dekh sakte Hain
Jo hum dekh sakte nahin
Ve jaanein hamaara ateet, vartmaan, aur bhavishya
Unhe gyat hai sab kuch sahi.
Abhi beshak jisey aisa lagaa nahin
Ve bhi jaan jaayenge ki satya hai yahee
Mauj wale Guruji kee mauj ka rakhein maan
Kyunki Unkee mauj mein hee behta hai hamaara kalyaan.
Guruji kee mauj ka gungaan hum gaayein
Unkee mauj ke satsang sunein aur sunaayein
Har pal Guruji kee mauj mein rehte jaayein
‘Jai Guruji’ hum kehte jaayein.
🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹
Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja
Guruji Kee Mauj (01/29/2025)