February 6, 2025
Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻
#2545
Bin Suney Gurbani
Bin suney gurbani
Kitnee neeras si thi zindagaani
Guruji kee hai badi meharbaani
Ki Ve Apni sangat ko sunvaate Hain Gurbani.
Kaanon se hota hai jabb iska shravan
Toh itna sukoon paata hai mann
Aur dheere dheere usey yoon atmasaat kar leti hai dil kee dhadkan
Ki iskee goonj aur iske spandan se hee chalne lagta hai jeevan.
Gurbani marham hai har ghaav kee
Gurbani prerak hai shuddh bhaav kee
Ye hai sahaayak aur aushadhi har beemaari mein
Gurbani se hum kho jaate hain Guru naam kee khumaari mein.
Anugrahit karey gurbani ka sur aur saaz
Madhur laagey iskee awaaz
Gurbani hai mahasaagar gyan ka
Gurbani hai strot aur sahaara simran aur dhyan ka
Amrit hai baani, na ki kewal paani
Aisee prataapi hai gurbani.
Gurbani sunkar na bhi aaye samajh
Toh bhi is se uljhanein jaati hain sulajh
Gurbani ka prabhaav hai itna kalyaankaari
Iske shravan manan se aksar duur ho jaati hai beemaari.
Kabhi kabhi aansoo behte hain sunte huey Gurbani
Suna aur maana hai ki vo hai pavitrikaran kee nishaani
Sunn-ne mein bhaav bhari
Jiskee gurbani se liv judi
Uske antas mein umad jaaye anand kee leher
Aur manan chal paaye aathon peher.
Suni toh pehle bhi thi gurbani
Par Guruji kee sharan milne ke baad
Gurbani ke sahaare Guruji kee yaad se rahe dil aabaad
Gurbani se judaav hua hai anokha
Guruji ka shukr hai ki Unhonei diya ye haseen mauka.
Jeevan ka safar hai ruhaani
Murshid aur meet hai Gurbani
Gurbani kee rachna hui Guruon dwaara
Govind aur Guru Hain ekmaatra sahaara
Guru Govind ek Hain
Beshak naam anek Hain
Guru roopi hai Gurbani swayam
Iskee ruhaaniyat mein rehkar magan
Hota rahe saari sangat ka bhalaa
Guruji sab ko bakhshein chadhdi kala.
🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹
Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja
Bin Suney Gurbani (02/06/2025)