Aayi MahaDev Kee Raat (02/25/2025)

February 26, 2025

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»

#2565

Aayi MahaDev Kee Raat

Aayi MahaDev kee raat
Kar lo MahaDev se baat
Ye raat hai Unkee dee saugat
Kar lo Unkee yaad ka paath.

Guruji MahaDev ka roop Hain pyaara
Guruji Hain sangat ka sahaara
Jisne Unkee yaad mein is raat ko guzaara
Vo haalaat se kyun kabhi haara?

Kaheen satsang Guruji ka raha hai ho
Sangat Unke prem ras mein rahi hai kho
Kaheen paath ho raha hai Shiv Puran ka
Kaheen suna jaa raha bakhaan Guruji ke gungaan ka.

Koi juda hua hai Guruji se Gurbani ke dwaara
Koi Shivji ke anekon naam mein dhoondhe sahaara
Ati paawan ye tyohaar hai
Shiv mahima se goonj raha sansaar hai.

Koi bhakt gaaye Shiv aur Guruji ke geet aur bhajan
Sabhi apne bhaav anusaar karein Guruji ka vandan
Guruji ke pyaar mein hon rahe hain nritya
Guruji hee Shiv Hain, Guruji hee Hain satya.

Andhere kee badli bhaag rahi hai
Bheetar kee chetna jaag rahi hai
Asha kee jyot ho rahi hai ujjwal
Nishchay hee behtar hoga aane wala kal.

Guruji kee kripa banee rahe sabhi par
Unkee agya se sangat aati rahe Unke dar par
Sabhi ko jaagriti aati rahe aur sabhi ka janam maran jaaye sudhar
Mahashivratri kee sabhi ko shubhkaamnaayein, sabhi par banee rahe Guruji kee nadar.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Leave a comment