March 3, 2025
Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar šš»šš»
#2570
Udaan Bharne Kee Intazaar
Kandhon par dho kar pahaad
Panchhi udd na paaye
Aise mein vo kaise
Apni manzil takk jaaye?
Hamaari haalat toh hai is se bhi zyaada kasht-daayak
Ek toh hum hain nahin udne ke laayak
Oopar se aasakti ksheen kar deti hai hamaari atma-shakti
Isliye bahut zaroori hai hamaare liye bhakti.
Bhakti mein bhi anivaarya hai bhaav
Aur swayam ko sudhaarne ka chaav
Aawashyak hai Guru dwaara maargdarshan
Taaki atmabodh hota rahe har kshan.
Buddhimaan hona mumkin hai
Lekin kya galat hai aur kya sahi
Ye toh vivek hee bataata hai
Isliye viveksheel hee asal gyaata hai.
Guruji Hain Guru pooran
Unkee shakti hai anant anupam
Maangein Unse aisee bhakti ka daan
Ki praapt ho hamein vivek aur asal gyan.
Guruji dwaara dikhaaya raasta ruhaaniyat ka
Guruji dwaara dikhaaya maarg insaaniyat ka
Bina ahem, vehem, aur andhvishwaas
Chaahiye toh kewal samarpan aur vishwaas
Jo nishtha se badhta jaaye
Jaise jaise bhakt prayaas karta jaaye.
Guruji se badhti jaaye lagan
Mann rahe Guruji mein yoon magan
Ki aur koi aasakti na rahe
Mann vikaaron ka aakraman na sahe
Beshak vikaar vaar karein baar baar
Ve vikaar har baar jaayein haar.
Sochiye, mann ko kitna halka mehsoos hoga kal
Jabb vikaaron ka aakraman na hoga safal
Jabb har duniyaavi aasakti ho jaayegi khatm
Viveksheelta dwaara mitt jaayega har bhram.
Aise mein kumm hota jaayega bhautikvaad ka bhaar
Hum ruhaani udaan ke liye hotey chalenge tayyaar
Badhega atmabodh, badhegi atmashakti
Guruji kee kripa se nikharti jaayegi bhakti.
Ruhaani pankh se mumkin ho jaayega udna
Isliye, bahut zaroori hai Guruji se judna
Guruji se seedhi taar jod kar karein toh hum prayatan
Dekhna, hamaari udaan bharne kee intazaar kar raha hai gagan.
š¹š¹š¹š¹š¹š¹š¹
Jai Guruji šš
Dhirja
Udaan Bharne Kee Intazaar (03/03/2025)