Guruji Hain Tum Mein (03/25/2025)

March 25, 2025

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar šŸ™šŸ»šŸ™šŸ»

#2592

Guruji Hain Tum Mein

Guruji Hain tum mein
Guruji Hain mujh mein
Guruji sarv-vyapi Hain
Sampoorna sach hai ismein.

Tum bhi Unhee ka roop ho pyaare
Mai bhi roop Unka
Tumhaara aur mera antas hai
Vaas Unke naam kee dhun ka.

Is satya ko jitna maanenge
Is dhun ko jitna pehchaanenge
Mehsoos hoga Unke utna hee kareeb
Ye hai vair bhaav mitaane kee bhi tarkeeb.

Guruji swayam Hain nirvair Paramatama
Unhee ka ansh hai har atma
Nirvair hona hoga awashya
Taaki har atma paaye apna lakshya.

Lakshya, safar mein aagey badhte jaane ka
Lakshya, Paramatama mein samaane ka
Varna tumhe aur mujhe na jaane janam lena hoga aur kitnee baar
Aur utartaa chadhta rahega karmon ka bhaar.

Saaf hona hee hoga ye khaata tumhaara aur mera
Taaki na gherta rahe janam maran ka ghera
Guruji ka dar hai aisa dhanya dera
Jahaan is safar ko mil sakta hai savera.

Usee savere ke liye vyakul hai tumhaari aur meri atma
Kyunki usee savere ke ujaale mein hoga sangharsh ka khatma
Tumhe aur mujhe Guruji ne dee hai Apni sharan
Dhanya ho jaayein hum Unkee sharan mein kaat kar apna janam maran.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji šŸ™šŸ™
Dhirja

Guruji Hain Tum Mein (03/25/2025)

Leave a comment