Guruji Ke Hee Sahaare (03/30/2025)

March 30, 2025

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻

#2597
            Guruji Ke Hee Sahaare

Sangat toh Guruji ke hee sahaare
Pahunch paayi Unke dwaare
Jinke bhaagya thei bade bichaare
Khil kar ho gaye ve abb nyaare.

Guruji Hain Bholenath Bhagwaan
Unhonei banaaya sangat ko Apni santaan
Ye hai itnee aseem daya ka daan
Jiska namumkin sa hai karna bakhaan.

Guruji kee har sangat hai anugrahit
Ve karein har bhakt ka hit
Chete Unko jiska bhi chitt
Uske avgunn jaate hain mitt.

Kyunki Guruji kee prerna se jaagti hai chetna
Guruji kee kripa mein hai anukampa aur samvedana
Adbhut hain Unke tareeke kalyaan karne ke
Anokhe hain Unke dhangg jholiyan bharne ke.

Guruji kee mauj mein aane kee hai der
Maaf ho jaata hai karmon ka hayr-pher
Koi bhakt nahin rehta Guruji kee rehmat se vanchit
Isliye kisee bhi vajeh se na honei dena apne vishwaas ko khandit.

Kyunki jiska hai Guruji ke kamal charnon mein basera
Uske jeevan mein awashya hota hai savera
Guruji aur Unka naam hai har bhakt kee suraksha ka dhaal
Ve Hain kaal ke bhookhe baagh ko paraajit karne wale Mahakaal.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🙏
Dhirja

Guruji Ke Hee Sahaare (03/30/2025)

Leave a comment