Om Namaha Shivaya Aaj Ka Suvichaar ππ»ππ»
#2588
Ruhaani Raahein
Pukaarein tujhe ruhaani raahein Tujhe ve raahi banaana chaahein Isliye pasaare huey apni baahein Ve tere swaagat mein geet gaayein.
Inhee par chalne se saarthak hogi teri zindagaani Inhee par chal kar kumm hogi teri pareshaani Guruji ne tujhe karmakaandon se azad kiya hai Tujhe in raahon par chalne ka Unhonei nimantran diya hai.
Ve kar rahe Hain tujhe vehem aur andhvishwaas se duur Kar rahe Hain Ve tere ahankar ko chuur chuur Kar rahe Hain tujhe Ve in raahon par chalne ke liye majboor Taaki roshan hota rahe tera ruhaani noor.
Isliye beshak gagan ka sooraj jaaye dhal Tu ruhaani raahon par chalta chal Ujjwal rahega sooraj tere bheetar ke akash ka Hetu banega vo teri rooh ke noorani prakash ka.
Om Namaha Shivaya Aaj Ka Suvichaar ππ»ππ»
#2587
Sundar Anjaam
Bada gazab karti hai maya Isee ne sukh ka lubhaav hai sajaaya Tabhi toh dukh bhi hota hai Aur insaan raaste par khota hai.
Lekin maya bin safar bhi poora na ho paaye Aur bin safar ke bhakt kaise tarr jaaye? Shiv se jeev aur phir jeev se Shiv ka safar Jispar Guruji ke pehra rehta hai har peher.
Manan karna zaroori hai Manan karna majboori bhi hai Tabhi Guruji karaayein Gurbani ka shravan Taaki hota rahe bhakt ke antas ka pavitrikaran Taaki hota rahe duvidhaaon ka haran Aur bhakt karta rahe manan.
Safar hai ye bhi, kaun pahunche kisee aur se pehle ya baad mukaam par Ye tayy karte hain bhakt kee mehnat aur Guruji kee rehmat Mehnat bhi na rangg laaye Unkee rehmat ke bin Chaahe bhakt lagaa rahe raat aur din.
Guruji ne hee dukh aur praarabdh katvaane Hain Unhee kee rehmat se sangat ne saare sukh paane hain Asal sukh vo jis par maya ka aavaran na ho Is prayaas mein na jaane kitne gaye hain raaste par khoβ¦. Maya ke hee bhool-bhulayiyan mein bhatak kar Bhool kar ki darasal ye hai adhyatmikta ka safar.
Guruji sarvgyani Hain Guruji Hain sarvshaktimaan Guruji se jude rehne se shant ho jaayega Maya ka ye goonga tufaan Mil jaayega abhay daan Miltee rahegi Guruji kee prerna mahaan Uday hoga ik din asal gyan Safar ko milega sundar anjaam.
Om Namaha Shivaya Aaj Ka Suvichaar ππ»ππ»
#2586
Na Tumne Rehna Na Mainey
Na tumne rehna na mainey Na rahenge koi gehne Na rehna in kapdon ne Jo hum sab ne hain pehne Na rehna kisee makaan ne, o pyaare Khatm ho jaayenge ye saare.
Rahenge toh Guruji aur Unka naam Sada sada ke liye Nav nirmaan mein bhi Ye jalaayenge divyata ke deeye.
Yoon hee toh nahin Guruji ko naman karti saari srishti Unkee meher se hogi gyan kee veh vrishti Jo laati rahegi naya savera Aur banaayegi sansaar ko aisa dera Jahaan phaylega aisa satyugi spandan Jismein gagan barsaayega ruhaani chandan Jiskee khushboo se mehekengi hawaayein Har oar chhaayengi Guruji kee duaayein Guruji ke naam amrit se paripoorna hogi har nadiya Ruhaani pushpon se hari bhari hogi har bagiya.
Keejiye kalpana Ki aisa samaa Sada reh sakta hai jeevan mein Agar Guruji kee yaad basee rahe mann mein.
Baahar jo bhi yug chal raha ho Guruji ke bhakti bhaav mein kho Bheetar reh sakta hai satyuga har kshan Aur shant aur sthir reh sakta hai mann.
Asal gyan ho jaayega toh Har paash jaayega toot Guruji kee kripa yoon barsegi Ki moh maya sab jaayegi chhoot.
Taral titliyaan mandraayengi Komal kaliyaan khil jaayengi Ruhaaniyat se bagiya bhar jaayegi Satyugi bahaar kee chunri lehraayegi Vo naam ka khumaar badhaayegi Saari sangat tarr jaayegi.
Aapki daya ke dariya mein Aapki bakhshishon kee bagiya mein Daya aur bakhshishon ke khazaane hain Aapke sabhi bhakt Aapke deewaane hain.
Jinhe sweekaara hai Aapne Ve toh sukh aur santaap dono mein Surakshit rahe hain aur rahenge bhi Unhe Aapki sharan jo hai milee.
Is yug parivartan ke samay mein Kitne jann jee rahe hain bhayy mein Lekin Aapke charnon mein aakar badhta hai atma-vishwaas Aur nirbhayta se bhar dete hain Aap bhakton ka shwaas.
Itnee kripa hai Aapki Ki namumkin hai karna bayaan Itnee mahima hai Aapki Ki kar na paaoon mai bakhaan.
Hum jaise adhoore insaanon ko mil gaye Aap jaise Pooran Guru aur Bhagwaan Na jaane ye kis punya ka hai parinaam Aapka shukrana karte huey beet jaaye jo aaj ka har pal Toh bhi baaki shukrana ke liye kumm padd jaayega har aane wala kal.
Om Namaha Shivaya Aaj Ka Suvichaar ππ»ππ»
#2584
Nibha Leβ¦.
Nibha le tu yahaan par Achche se apna kirdaar Varna aana jaana padega yahaan Na jaane kitnee aur baar.
Guru Govind sab dekh rahein Hain Ye tu bhool na jaana Jaan boojh kar kuch aisa na karna Ki padey tujhe pachhtaana.
Anjaane mein toh galatiyan hoti rahengi Kyunki tu Bhagwaan nahin Lekin apni oar se koshish kar Ki tu chal le raasta sahi.
Guruji sab rahein Hain sambhaal Varna abb takk tu ho jaata behaal Guruji ka raksha kavach hai teri dhaal Buss, tu rakhta chal seedhi chaal.
Aur koi dekhe ya nahin Guruji dekh rahe Hain har pal Kirdaar jitna saaf hoga tera Utna hee nikharega tera aane wala kal.
Jaise jaise teri khaamiyaan hongi duur Teri rooh par chhaata rahega Guruji ka noor Teri neeyat aur koshish ka hota rahega asar Guruji kee kripa se kirdaar jaayega sanvar.
Abb aur der na kar Achche se tayy kar tu safar Jaisa kirdaar nibhaayega yahaan Vaisa parinaam bhogega vahaan Aisa hee hota aaya hai, aisa hee hota rahega Aane wala janam bhi pichhle janmon kee kahaani kahega Tu samajh paayega ya nahin Ye tujh par karega nirbhar Kyun na aaj, isee pal se koshish kar Aur na chod apni oar se koi kasar.
Praapt hui hai tujhe Guruji kee sharan Sanvaar le tu apna janam maran Guruji ke vachan maan aur βbanda bannβ Guruji tujh se hongei bahut prasann.
Om Namaha Shivaya Aaj Ka Suvichaar ππ»ππ»
#2583
Sumangal Ka Vidhaan
Jaana aakar asaliyat ke kareeb Ki mere jeevan kee naiya hai khushnaseeb Is naiya ka kivaiya hai bada khoobsoorat Vo toh khud hee hai Khuda kee moorat.
Guruji Hai Unka naam Unke charnon mein hai param teerath dham Jabb bhi koi Unhe pranaam karey Vo har Guru ko namaskar karey.
Guruji ke bhakton ka antas hai Shivalay Unka har satsang hai vidyaalay Yahaan Gurbani ka paath sunaaya jaata hai Yahaan Unkee agya se bhakt aa paata hai.
Sabhi vidyaarthiyon ko Guruji se milta hai anubhav gyan Guruji hee bakhshte Hain simran aur dhyan Unhe pasand ki bhakt karey gupt sewa, gupt paath, gupt daan Guruji ke kamal charnon mein hai amrit kee khan.
Guruji hee Hain murshid, Ve hee pita aur mata Tarr jaata hai jo koi bhi Unse hai jud jaata Guruji kee sharan mein safar hai kalyaan ka Unka dikhaaya raasta hai sumangal ke vidhaan ka.
Om Namaha Shivaya Aaj Ka Suvichaar ππ»ππ»
#2582
Aapki Prerna Seβ¦
Jaise bhi hon haalaat Guruji Bakhshte rahiye daya kee daat Guruji Bakhshte rahiye din raat Guruji Aap hee pita, Aap hee maat Guruji.
Aap Hain Daata, mai Aapka kookar Aap Shehenshah, mai hoon kinkar Pyaasi hoon Aapki bakhshish kee Daasi banee rahoon Aap Ish kee.
Aukat nahin ki bann sakoon Aapke charnon ke taley kee dhool Phir bhi Aap ne mujhe banaaya Apne bagh ka ik phool Aapki mamta ke poshan se khilee hoon, varna murjhaayee rehti Na jaane Aapke bin kaise mai mausam kee chunautiyan sehti.
Har kalee ko le leejiye Apni sharan mein Har murjhaaye phool ko jageh deejiye Apne charan mein Aapki dee suraksha sabhi ko miley Har kalee, har phool muskuraaye aur khiley.
Saare sansaar ka ho mangal Jiska aaj nahin hua, uska ho jaaye kal Badhaa deejiye sabhi ka manobal Taaki ho sakey duvidhaaon ka hal Aap Hain karunanidhaan, Aap komal Aapki prerna se sabka jeevan ho ujjwal.
Om Namaha Shivaya Aaj Ka Suvichaar ππ»ππ»
#2581
Jabb Guruji Hon Angg Sangg
Jabb Guruji Hon angg sangg Ruhaani hai jeevan ka rangg Jitna sudharega jeene ka dhangg Ruhaaniyat mein ho jaaoge utne malang.
Honei do ik aisa havan Jismein ho jaaye sabhi vikaaron ka dahan Socho, kitna shuddh aur saaf ho jaayega mann Aur kitna anandmayi hota chalega Guruji ka manan.
Saaf mann par jo chadhta chalega Rangg Guruji ke naam ka Toh bheetar hee ehsaas ho jaayega Param Shivmayi dham ka.
Om Namaha Shivaya Aaj Ka Suvichaar ππ»ππ»
#2580
Unhee Kee Chhatr Chhaaya Mein
Guruji kee vireh mein udaas hokar Guruji kee yaad mein khokar Chaahti thi bahut kuch kehna Lekin majboori ko padd raha thaa sehna.
Khaamoshiyon ne yoon baandh liya thaa zubaan ko Ki pukaar na paa rahi thi Bhagwaan ko Chuppi mein dekh rahi thi aasmaan ko Dil mein basaa kar Guruji se milne ke armaan ko.
Guruji Hain mere Bhagwaan Bin mere pukaare hee sunte Hain Ve karunanidhaan Kuch pal ke liye ho gayi thi is tathya se anjaan Jabb yaad aaya, toh jaan mein aayi jaan.
Meri khaamoshi ko sunaayee dee Guruji kee awaaz Vo seedhi taar thi is sundar ehsaas ka raaz Jo Guruji kee kripa se judi Unkee meri rooh ke sangg Udaas se mann mein uthi ullaas kee umang.
Tabhi aayi Guruji kee divya khushboo Jisne mere roam roam ko liya chhoo Guruji ne diye Apne virat saumya darshan Pehle thaa udaas, abb toh itna prasann hua mann.
Prasann itna, ki meri khushi ka na thaa thikaana Baanvri si hui, lekin Guruji se kyun thaa chhipaana Mai nacheez hoon praani tuchh Aur Ve Paramatama jo jaanein sab kuch.
Unhonei diya charan sparsh ka avsar Unke charnon mein jhukta gaya mera sir Mera mann, meri soch, mera zameer bhi Muskuraane lagi meri taqdeer bhi.
Guruji ne ashirwaad diya Mainey dhanyawaad kiya Naynon ka baandh toot kar haara Behne lagi ashruon kee dhaara.
Na jaane dhul gaye kitne janmon ke paap Guruji ke samaksh mai khadi thi maano khuli kitaab Na koi aavaran, na koi nakaab Achaanak neend khuli, toh jaana ye thaa ik khwaab.
Guruji ne diye swapn darshan, Unka shukrana baarambaar Unhee ke saanidhya mein beete har pal, har peher, har vaar Unhee se aabaad rahe mann ka har vichaar Unhee kee chhatr chhaaya mein har janam mai doon guzaar.
Om Namaha Shivaya Aaj Ka Suvichaar ππ»ππ»
#2579
Srishti Ka Shehenshah
Guruvar daata deendayal Aap toh jaanein mera haal Phir kya bataaoon Ya kya chhipaaoon Par Aapko bin bataaye raha bhi na jaaye Kyunki kewal Aap hee toh Hain sada sahaay.
Aur agar chhipaaya Aapse Toh aur kisey sunaaoongi? Apne kashton ke ghaav par Aur kiske naam ka marham lagaaoongi?
Mere har ghaav kee ekmaatra aushadhi hai Aapka naam Meri prerna hai Aapki yaad, meri manzil hai Aapka dham In sabke bin nahin mil sakta meri rooh ko aaraam Arz karoon dil kee ye baat karte huey Aapke charnon mein pranaam.
Aap shehenshah sampoorna srishti ke Mere karam mohtaaj Aapki kripa drishti ke Kaheen aur jaane kee zaroorat ya chaahat nahin Kyunki Aapki sharan mein mere saath jo hoga, vo hoga sahi.
Aapke charnon mein jo rahega mera basera Toh raat mein bhi rahega savera Kya hua agar pareshaaniyon ne hai ghera Srishti ka shehenshah swayam hai rakshak mera.