March 1, 2025
Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻
#2568
Maya Ke Nayyn
Maya ke nayyn hain kayi hazaar
Na bach paaya iskee nazar se ye sansaar
Rochak lagta hai idhar udhar ka samaachaar
Maya agyani ko aakarshit karti hai baar baar.
Maya ke chanchal nayynon se
Bach na sakaa hai insaan
Paash hai ye hum pashuon ko baandhe huey
Pashupati Hain Guruji sarvshaktimaan.
Maya Unkee ek shakti hai
Jiske dwaara Ve lete Hain hamaara imtehaan
Ye hai is imtehaan ka uddeshya mahaan
Shiv se jeev bankar bann-na hai hamein jeev se Shiv Bhagwaan.
Yahee hai is safar ka saar
Isee mein lagg jaate hain aksar janam kayi hazaar
Ya phir is se bhi adhik
Aur chalta jaata hai pathik.
Anivaarya hai purusharth nibhaana
Agar raaste kee manzil ko hai paana
Guruji se judaav hota chale jitna
Har paash se azad hona mumkin hai utna
Maya ke chakravyuh mein phansey ko bhi Guruji bachaate Hain
Imtehaan lete Hain Ve aur Ve hee utteerna karaate Hain.
Guruji kee kripa bin koi paash na toote
Guruji kee meher bin buri aadat na chhoote
Jaan kar hamaari koshish aur neeyat
Ve karte Hain bharpoor inaayat.
Guruji ke saanidhya mein beeta shraddha ka har ik pal
Badhaata hai shraddhaalu ka manobal
Guruji le chalte Hain aisee azadi kee oar
Ki bhakt ko baandhti hai kewal Unke sangg rishte kee doar
Kyunki baaki sabb duniyavi hai
Baaki sabb mayavi hai
Guruji hee SadaShiv Hain
Guruji hee Hain satya
Ye kewal vishwaas nahin hai
Ye hai param tathya.
🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹
Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja
Maya Ke Nayyn (03/01/2025)