April 30, 2025
Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻
#2628
Sangharsh Nahin Aasaan
Sangharsh nahin aasaan
Par vishwaas rakho aye insaan
Ki beshak aaye kaisa bhi tufaan
Kaheen na kaheen toh thaame huey Hain tumhe Bhagwaan
Guruji Maharaj ke roop mein
Jeevan kee chhaaon dhoop mein.
Varna tum yahaan takk bhi na pahunch paate
Aur na jaane kitne aur dhakke khaate
Ye toh Guruji ne hai sambhaala hua
Jabb jabb bhi kasht ne tumhe hai chhua.
Sangharsh toh hissa hai insaani jeevan ka
Tum banaaye rakho santulan apne mann ka
Jodkar Guruji se seedhi ruhaani taar
Aur Unke prati raho wafadaar.
Dar dar bhatakne mein faayda nahin, balki hai nuksaan
Yahaan se kaheen aur jaane kee zaroorat hee nahin, aye insaan
Anant koti Brahmand ke maalik Hain MahaShiv roopi Guruji Maharaj
Shraddha aur saboori rakho, sanvar jaayenge tumhaare kaaj.
Safalta nishchit hai sangharsh ke baad
Kyunki tumhaare sangg hai Guruji ka ashirwaad
Sangharsh ke dauran bhi Guruji ko prem se karo yaad
Ve tumhe har bhayy aur har sanshay se kar denge azad.
🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹
Jai Guruji 🙏🙏
Dhirja
Sangharsh Nahin Aasaan (04/30/2025)