April 14, 2025
Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻
#2612
Mera Roam Roam
Guruji, Aapke prati prem bhaav mein
Is bhaav ke chaav mein
Jeevan banee sadhna
Ya sadhna bann gaya jeevan
Ye na samajh paaya mera mann
Lekin itna hai yakeenan
Ki Aapke khayaalon se shuru hota hai har din
Din bhar chayyn nahin aata Aapke khayaalon ke bin
Aapse shukrana kehte aur maafi maangte huey hota hai raat ka aagaman
Lagta hai ki neend mein bhi Aapke khayaalon mein beet jaate hain bahut se kshan
Kya yahee hoti hai preet?
Kya aisee hai bhakti kee reet?
Mujhe ye na aaye samajh
Par mai kyun sawaalon mein jaaoon ulajh
Ye kaafi hai mere liye
Ki Aapne aise lamhe hain deeye
Jinmein ho jaati hai Aapse baat
Chaahe ho din, ya ho raat.
Hai Aapse meri ardaas
Ki kabhi na hona mujh se naaraaz
Duur na jaana kabhi mujh se rooth kar
Varna mai bikhar jaaoongi toot kar
Maati kee mai gudiya hoon
Aapko mai kya tohfa doon
Gunaahon ko rakh kar Aapki paawan sharan mein
Bheetar se sir ko jhuka kar Aapke kamal charan mein
Karti hoon shukriya har aansoo aur har muskaan ka
Mera roam roam karzdaar hai Aap maalik meharbaan ka.
🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹
Jai Guruji 🙏🙏
Dhirja
Mera Roam Roam (04/14/2025)