April 15, 2025
Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar ππ»ππ»
#2613
Aap Mein Bhaav Yoon Beh Jaaye
Param poojya Guruji Maharaj,
Aap mein bhaav yoon beh jaaye
Ki koi aur khwaahish na reh jaaye
Aapse mann ye keh jaaye
Ki vo Aapke bharose sabb seh paaye.
Phir kya sankat aur kaisi kathinaayee
Har oar mehsoos ho Aapki vadiyaayee
Srishti mein sabse bade Aap aur Aapki guruyaayee
Aapke dar par hoti har sada sabki sunvaayee.
Mai kehte huey thakk jaaoon beshak
Aap sunte sunte na thakenge
Jaanti hoon ki mai agar maangne se ruk bhi jaaoon
Aap dete dete nahin rukenge.
Kyunki Aap Hain daata
Jinse har bhakt hai paata
Kalyaankaari hai ye nirmal naata
Tabhi har bhakt Aapki mahima hai gaata.
Mai bhi karti rahoon Aapki mahima ka gungaan
Deejiye Apni sewa ka vardaan
Aap mere sab kuch, mai praani tuchh
Jholi mein bhar loon Aapki daya ka daan.
Jaanti hoon ki chhoti padd jaayegi meri jholi
Aapki kripa se Aapki mai holi
Aap mil jaayein jisey, usey toh mil jaaye sukh aisa aparampaar
Ki dhool ke kann se bhi chhota laagey phir ye saara sansaar.
πΉπΉπΉπΉπΉπΉπΉ
Jai Guruji ππ
Dhirja
Aap Mein Bhaav Yoon Beh Jaaye (04/15/2025)